Assalamalekum... Janab mera sawal ya hai ki agr kisi ke maa baap ya bhai behan ya bhai bhabhi... Shadi karne ke daar kar rhe hu (jis ki sayyed ghrsayyed ya maal ke laalach me daar kar rhe hai agr ko larka ya larki us daari ki wajha se koi ghunha karta hai tu uska zimmedar bss vo hi hai ya vo sab uske zimmedar hai) wasallam
Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
Moqaddas deen islaam me shaadi karna mustahab wa sunnat hai , is ki bhot taakid ki gaei hai , lekin baaz haalaat me waajib hai
tamaam foqaha wa maraaje ka fatva hai :-
agar koiy jawaan apni jinsi khaahish ko qaabu wa control na kar paae our gunaah me padne ka dar ho to shaadi karna waajib hai
insaan ki zindagi me asaasi wa bunyaadi omur me se aek shaadi hai is , ke bhot saare faaede hain , misaal ke taur par chand faaede ki taraf aeshaara kiya jaaraha hai :-
(1) inheraaf , fahsha , fasaad ... se inferaadi wa ijtemaaei zindagi ki hefaazat our akhlaaqi aetebaar se salaamti wa paaki
(2) ruh wa jism ke liye baaese sokun wa itminaan
(3) jawaanon me aek dusre se mohabbat karne ka aehsaas our farz shanaasi wa zimmedaari ko anjaam dena
(4) baqaae nasl
maa baap ki zimmedaari hai ke apni aulaad ki ach'chi wa monaasib jagah shaadi karen , is ke asbaab faraaham karen
rasul-e- akram ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :-
مِن حَقِّ الوَلَد عَلى وَالِدِهِ ثَلاثَة : يُحَسِّنُ اِسمَه و يُعَلِّمُهُ الكِتَابَةَ و يُزَوِّجُهُ اِذَا بَلَغَ
" baap par aulaad ke tin haq hain : ache wa nek naam ka intekhaab , ketaabat wa tahrir sikhaana ( taalim dena ) our baaligh hone ke baad shaadi karna"
is rewaayat se bakhubi maalum hota hai ke aulaad ki shaadi karna , baap ki zimmedaari hai. waaledaiyn par akhlaaqi farz banta hai ke hattal imkaan shaadi ke asbaab faraaham karen agar majburi ya koiy mushkil hai to ye alag baat hai
lekin koiy mushkil wa majburi nahi hai , ous ke baad bhi shaadi na karen , kotaahi karen to aulaad ke gunaah me sharik hain , maa baap bhi sharik-e- jurm hain
rasul-e- maqbul ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :-
مَن اَدرَكَ لَهُ وَلَد و عِندَهُ مَا يُزَوِّجُهُ فَلَم يُزَوِّجُهُ فَاَحدَثَ فَلاِثم بَينَهُمَا
( majmaoul bayaan jild 7 p 184 - zaiyl aayat 32 surah nur )
" kisi ki aulaad rushd ( bolugh ) ki had tak pahunch jaae our ous ki shaadi karne ke imkaanaat wa asbaab faraaham hain ous ke baad bhi shaadi na karen ; agar aulaad ne gunaah ka irtekaab kiya to ye gunaah dono ( waaledaiyn our aulaad ) ke liye likha jaae ga "
is me koiy shak nahi ke aulaad ki shaadi karna waaledaiyn par farz hai , in ke dosh par hai our ghar waalon , qaribi rishtedaaron ki bhi zimmedaari hai
lekin agar waaledaiyn , ghar waale , rishtedaar shaadi na kara paaen oun ke paas imkaanaat nahi hain to ye zimmedaari tamaam musalmaanon our samaaj o moaashere ki hai ke aiyse afraad ki shaadi karaaen , oun ki madad karen
surah nur aayat 32 me hai ( ye aayat , aayat-e- nikaah se bhi mash'hur hai )
*" وانكحوا...."
" our tum me se jo log ( mard ya aurat ) be nikaah hon niz tumhaare ghulaamon our kanizon me se jo saaleh hon oun ke nikaah karo agar wo naadaar wa tang dast hon allaah apne fazl se ounhen ghani wa be'neyaaz kar dega ... "
is aayat me khetaab aam hai , tamaam insaanon our samaaj o moaashera se hai lehaaza sab ki zimmedaari hai ke samaaj o moaashera paak rakhne ke liye aiyse afraad ki shaadi karaaen jin ki nahi ho paa rahi hai , agar aiysa nahi kiya to sab ko allaah ke hozur jawaab dena hoga
our is kaam ki is qadr ahamiyat wa sawaab hai ke amirul momenin ali ( علیه السلام ) ne farmaaya :-
اَفضَلُ الشَّفَاعَات اَن تَشفَع بَينَ اِثنَين فِى نكَاحِِ حَتّى يَجمَعُ الله بَينَهُما
" behtarin shafaa'at wa khaiyr khaahi ye hai ke do logon ( mard wa aurat , ladka wa ladki ) ke darmeyaan nikaah karne me waasta wa zariaa banen taake dono aek dusre se mil jaaen ( miyan bivi ho jaaen )
jin logon ke paas imkaanaat hain ous ke baavojud qaum ke bach'chon ki shaadi na karaaen is taalluq se oun ki madad na karen to amirul momenin ali ( عليه السلام ) oun se ye nahi puchen gen ke har saal 13 rajab , najaf-e- ashraf meri zeyaarat karne keyaun nahi aae? lekin is baare me zarur moaakheza wa jawaab talabi hogi
jo log apne bach'chon ki shaadiyon me fozul kharchi karte hain thre ya five star hotel me shaadiyaan karte hain , sirf sajaawat par aek laakh wa do laakh rupiya lagaate hai jab ke oun hi ke rishtedaar ya mahalle ya shahar ke bach'chon ki shaadiyaan maali mushkelaat ki vajah se nahi ho rahi hai
aaya aiyse log khoda our imaam-e- zamaana (عجل الله فرجه الشريف ) ko mu ( منھ ) dekaane ke qaabil hain?
maanavi wa ruhaani safar me ya khud shaadi me baavarchi laziz wa mazedaar khaana pakaae to ous ko lefaafa diya jaata hai lekin wahin aek aiyse aalim-e- deen se milna pasand nahi karte jo ruhaani wa maanavi gheza deta hai , allaah wa rasul our shari'at ki baaten bataata hai , amr bil maaruf wa nahi az munkar jaiyse azim farize par amal karta hai ... is ki vajah mahaz ye hai ke oun ke mezaaj ke motaabiq baaten nahi karta , aiyse logon ko bhi aek din khoda wa imaam-e- asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke saamne pesh hona hai
Sawaal ke peshe nazar haqir ka mashvera :-
is taalluq se nehaayat adab o aehteraam ke saath apne maa baap wa ghar waalon se khud baat karen ya baat karne ke liye kisi qaribi rishtedaar se kahen ya masjid wa aelaaqe ke kisi motabar aalim-e- deen se kahen ya maa baap ... ke kisi aiyse dost se kahen jis ki baat maa baap wa ghar waale maante hon , oun ki baat ka asar ho
shar'ei aetebaar se shaadi bhot aasaan hai lekin afsos ghalat rasm o rewaaj hatta khoraafaat ne aasaan tarin raaste ko dushwaar tarin wa tedah medha ( ٹیڑھا میڑھا ) raasta bana diya our kabhi kabhi to is raaste se jawaanon ka guzarna ghaiyr momkin ho jaata hai
bahar haal agar aeqtesaadi mushkil ya kisi our vajah se shaadi ke asbaab faraaham nahi hain to ye maazur wa majbur hai , is par shaadi waajib nahi hai lekin khud ko ghunaah se bachaae
surah nur aayat 33 me hai :-
" jo log nikaah ka imkaan na paaen ounhen iffat aekhteyaar karna chahiye ... "
sirf do hi raaste hain , shaadi ya paak daamani , tisra koiy raasta nahi
ghunaah se bachne ka tariqa :-
(1) tahrik aamez , akhlaaq baakhta film , tasvir , baaton , ketaabon ... our fikr se parhez
(2) khud ko mashghul rakhna warzish ho ya hunar ya motaala'aa ya rishtedaaron wa nek doston se milna julna ... is se zehan khaali nahi rahega
(3) aiysi gheza se parhez jis se shahvat bhadakti hai
(4) roza
(5) qur'aan wa doa se ounsiyat , in ko padhna our mazhabi taqribaat me shirkat*
Note :-
mazid maalumaat ke liye Edara-e-darul itrat ki link me asr-e- haazir wa khanewaada dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
12 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment