Huzoor ehlulbait a.s ne sone ke kis posture ko advise kia hai?sarr kidhar hona chaiye?pair kidhar hona chaiye? Kya uttar yani north ki taraf sarr rakh ke sona chaiye? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 3, 2019

Huzoor ehlulbait a.s ne sone ke kis posture ko advise kia hai?sarr kidhar hona chaiye?pair kidhar hona chaiye? Kya uttar yani north ki taraf sarr rakh ke sona chaiye?

*Sawaal az : mohtaram janaab Tanwir Ali sb / Delhi*




Salam
 Huzoor ehlulbait a.s me sone ke kis posture ko advise kia hai?sarr kidhar hona chaiye?pair kidhar hona chaiye?

Kya uttar yani north ki taraf sarr rakh ke sona chaiye?
Sote waqt chehra kis taraf hona chaiye?


*jawaab* :-

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

mustahab hai ke insaan sote vaqt apna chehra qible ki samt rakhe our daahena haath daahene kalle (گال ) ke niche rakhe , rewaayaat me is ki bht sefaarish ki gaiy hai

"iski surat wa haalat is tarah hai ke sote Waqt chehra our badan ka agla hissa qible ki samt ho (qabr me murde ko letaane ke moshabeh wa maanind haalat wa surat)" 

agar koiy kahe ke mustaqil is tarah nahi so sakte hain insaan aek krvat sone se thak jaae ga . dusre ye ke nind me aekhteyaar nahi rahta hai , krvat badlega to pusht ( پیٹھ ) qible ki taraf hojaae gi

iska jawaab ye hai ke ibtedaae khaab (ابتدائے خواب ) isi tara soen kaafi hai , mustahab par amal ho gaya lehaaza nind ke dauraan tamam muddat qibla ru sona zaruri nahi hai , mohim ye hai ke sote waqt chehra va badan ka aglaa hissa qible ki jaanib ho

"is tarah sone ke maaddi wa maanavi asaraat wa barakaat hain. Sirf 2 maanavi asar ki taraf aeshara kiya ja raha hai" 

(1) is tarah sone se insaan mout ko yaad kare ga . is se ghaflat nahi kare ga , keyon ke murde ki tarah so raha hai . maalum nahi zinda outhe ga yaa nahi

hadis me hai nind bhi aek tarah ki waqti mout our mout-e- asghar hai

(2) kaba tamaam musalmanon ka qibla hai , tauhid va yaktaa parasti ki neshaani va alaamat hai lehaaza sote waqt chehra qible ki samt hone se khoda ki taraf tawajjoh rahe gi . is se ghaafil nahi rahe ga

"Note" :-

sote waqt keya mustahab hai our keya makruh ? our keya padhna chaahye ... ?

is ko jaan'ne ke liye " hilyatul muttaqin ( حلیة المتقین ) " allama Majlesi se roju karen - baab 8 me fasl 1 se 10 tak

والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari khadime aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran

4 / شوال / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen