Ho sake to mo'tabar wazaaef aur amaliyaat ke saath mujhe aisi mo'tabar cheezein bhi bataaiye jis ko paas aur saath rakhne se Allaah ki taraf se khaas madad, Ma'soomeen ki khaas tawajjoh, hifazat, rizq, ilm aur mohabbat haasil kar sake. - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 17, 2019

Ho sake to mo'tabar wazaaef aur amaliyaat ke saath mujhe aisi mo'tabar cheezein bhi bataaiye jis ko paas aur saath rakhne se Allaah ki taraf se khaas madad, Ma'soomeen ki khaas tawajjoh, hifazat, rizq, ilm aur mohabbat haasil kar sake.

Sawaal az : ............

Salamun alaikum.
 Sawal thoda ajeeb lag sakta hai. Ghalat mat samajhna, please. Dimaagh aur dil ka haal bayaan karna mushkil hai. Ho sake to mo'tabar wazaaef aur amaliyaat ke saath mujhe aisi mo'tabar cheezein bhi bataaiye jis ko paas aur saath rakhne se Allaah ki taraf se khaas madad, Ma'soomeen ki khaas tawajjoh, hifazat, rizq, ilm aur mohabbat haasil kar sake.
 Sawal aur jawab ke saath   number aur naam type mat karna, please.


Jawaab :-

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله وبركاته

zindagi me har aek ko aek qavi wa mazbut haami wa madadgaar our hamdam ki zarurat hai baaz log sirf khushi our ach'che haalaat me saath rahte hain jaiyse hi zindagi me koi choti si  mushkil aaei ,tak o tanha chod kar bhaagh jaate hai

lehaaza aek  aiysi zaat ho jis par takiya wa bharosa our aetemaad kiya jaasake jo har waqt wa har haalat me hamaare saath ho, dukh sukh our bohraani haalat me bhi hamaari madad kare, ous se darde dil bayaan kar saken

ous zaat ka naam khoda hai, imdaad-e- aelaahi ke beghaiyr momin ki zindagi jahannam se badtar hai
isi liye maasumin ( عليهم السلام ) hamesha baargaahe aelaahi me arz karte the :-

   *"رَبِّ لا تَكِلنِى اِلى نَفسِى طَرفَةَ عَين اَبَدا..."*

( rabbe laa takilni aela nafsi tarfata aiynin abada )

"parwar'degaara kabhi bhi aek chashm zadan ke baraabar bhi mujhe khud par na chod"

Raavi kahta hai maiyne imaam -e- saadiq (عليه السلام ) ko dekha ke aasmaan ki jaanib apne haathon ko baland karke yahi doa (...لا تكلنى ) kar rahe hain our daadhi (داڑھی ) se aansu jaari hain

( osule kaafi jild 2 p 581/ ketaabud doa )

 ye jumla dar waaqe apne mahbub se mokaalema wa moaasheqa hai

albatta nusrat-e- aelaahi ke asbaab o aelal hain, khoda ne dunya ka nezaam aiysa banaaya hai ke allaah ki madad haasil karne ke liye kuch karna hoga, haath par haath dhare baithna sahi nahi hai
maqaam-e- taklif me allah pahal nahi karta bande ka pahal karna laazmi hai oun ko faraaham karna hamaara kaam hai

lehaaza baaz mohim our asaasi wa bunyaadi asbaab ki taraf nehaayat aekhtesaar ke saath aeshaara kiya jaaraha hai ispar amal karne se yaqinan khoda madad karega

(1) eimaan wa taqwa :-

is ki vajah se khoda apni rahmaton our barkaton ke darwaaze khol deta hai our aiysi jagah se rizq dega jahaan se soch bhi nahi sakta hai

( surah aaraaf / 96 - talaaq / 2- 4 )

(2) Tawakkul :-

allaah par bharosa karen madad karega

( aale imraan / 160 )

(3) Tauba wa istighfaar :-

ye rozi ke liye bhi daaemi wasila wa sabab hai, shaadi, talabe farzand our baarish ke liye bhi bhot mofid hai

( nuh  10- 11- 12 / nahjul balaagha  khutba  143 )

(4) Sabr o namaaz :-

mushkelaat me insaan sabr ( roza ) our namaaz se madad le

( baqara / 153 )

Rewaayat me hai jab bhi koi mushkil wa sakhti hoti thi to amirul momenin ali ( عليه السلام ) 2 rakat namaaz padhte the

(5) Doa, isteghaasa our khoda se nusrat talabi :-

jab allaah ko pukaaroge to tumhaari doa qabul karega

( baqara /186 - anbiya  /76 )

 ye waada-e- aelaahi hai albatta doa maasumin (  صلوات الله عليهم ) ke zariye our tawassul se ho

(6) Zulm ka moqaabela :-

mazlum otna hi badla le jetna sakht bartaao ous ke saath kiya gaya tha to allah ous ki zarur madad farmaae ga

( haj / 60 )

(7) Makhluqe khoda ki madad :-

jab insaan khalqe khoda ki madad kare ga, qarz-e- hasan ke zariye ya kisi our zariye to khoda ous ki madad kare ga

( maaeda / 12 )

Rasul-e- akram ( صلى الله عليه و آله ) ne farmaaya :-


 مَن نَفَّسَ مِن مُسلِم كُربَة مِن كُرَبِ الدُّنيَا نَفَّسَ اللهُ عَنهُ كُربَة مِن كُرَبِ يَومِ القِيَامَة و مَن يَسَّرَ عَلى مُعسِر يَسَّرَ اللهُ عَلَيه فِى الدُّنيَا وَالآخِرَة و مَن سَتَرَ عَلى مُسلِم سَتَرَاللهُ عَلَيه فِى الدُّنيَا والآخِرَة 
(nahjul fasaaha/ p 723 )

"jo bhi dunya ke gham o andoh wa sakhtiyon me se kisi taklif wa dukh ko musalmaan se zaael kare to khoda roze qeyaamat ke gham wa sakhtiyon me se taklif wa sakhti ko ous se dur wa bartaraf karega our jo bhi tang dast ki gharibi wa dushwaari ko aasaan kare to dunya wa aakherat me khoda ous par dushwaari ko aasaan karega our jo bhi musalmaan par parda daale to khoda dunya wa aakherat me ous par yaani ous ke raaz par parda daale ga"

ye tin kaam aiyse hain jis ki vajah se khoda madad wa talaafi kare ga , allaah ki nusrat wa imdaad sirf dunya me nahi hai balke aakherat me bhi hai, aakherat me imdaad-e- aelaahi ki zeyaadah zarurat hai is liye ke dunya faani hai our aakherat baaqi

(8) Allaah ki madad karna :-

khoda ki madad karo ge to wo bhi tumhaari madad kare ga

( mohammad / 7 )

khoda ki madad kar ke apne andar allaah ki nusrat ki qaabeliat wa ahliyat paiyda karo to allaah tumhaari madad kare ga, pahal bande  hi ko karna hoga

ye bhi waadae aelaahi hai

khoda ki madad karna, kenaaya wa aeshaara hai , khoda ki madad karna yaani deen, shari'at,  rasul, imaam our aap ke taalimaat ki har momkin tariqe se madad karna
ham khoda ki is tarah madad karen
wo hamaari madad kaiyse kare ga?

mokhtalif raaston our tariqon se kare ga:

hamaare qalb me nure eimaan, ruh me taqwa, aeraade me qudrat wa taaqat, fikr me eitminaan...daal dega our  hamaari madad ke liye farishton ko bheje ga hatta jinnaat wa haiywaanaat ke zariae madad kare ga aiysi ghiybi imdaad hogi jis ka aehsaas bhi nahi hoga, is taalluq se be shumaar waaqeaat hain
haadesaat our mushkelaat ko hamaare faaede me tabdil kar dega,logon ke dilon ko hamari taraf maa'el kare ga, hamaari baaton me asar paiyda kare ga, hamaare kaamon our fa'aaliyat me kaamyaabi ata kare ga wa...

Note :-

baaqi baaton ka jawaab baad me diya jaae ga انشاءالله
is liye ke har aek mustaqil mauzu hai, aekhtesaar ke baad bhi jawaab tulaani ho jaae ga

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

10 / جمادىالاولى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen