.hasimi bhi syed hote hai ..or agar hote hai ..to hazrat abdulmuttalib ke bete hazrat abbas as ki aulad bhi syed hui phir ?? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, January 13, 2019

.hasimi bhi syed hote hai ..or agar hote hai ..to hazrat abdulmuttalib ke bete hazrat abbas as ki aulad bhi syed hui phir ??

 Sawaal az : mohtaram janaab abbaas sb/ delhi*

(1) sawaal:-

Ke syed gunahgar ki izzat lazmi hai dena..or ummat se ziyada afzal hai syed?? Or kya baNi hasim bhi syed hote hai ..jese janabe abbas ki nasle wo bhi syed hai .i
Reference ke sath javab de please

(2) sawaal az : +91..........

 Moulana sahab ...hasimi bhi syed hote hai ..or agar hote hai ..to hazrat abdulmuttalib ke bete hazrat abbas as ki aulad bhi syed hui phir ??

"Jawaab" :- (sawaal 2 ka Jawaab) 

                           باسمه تعالى

                           سلام عليكم

syed wo hain jin ka silsila-e- nasab baap ki taraf se janaab-e- haashim bin abd-e- manaaf ( hazrat rasul-e-khoda our amirul momenin ali صلوات الله عليهم ke par'daada) tak pahonche

pas jis ka bhi nasab naama janaab-e- haashim bin abd-e- manaaf ya in ke farzandon jaiyse hazrat abdul'muttalib tak pahunche syed hain

lehaaza rasul-e- khoda (صلى الله عليه وآله) ke haqiqi chachaa janaab-e- abutaalib , janaab-e- abbaas , janaab-e- hamza , sabhi syed hain

rasul-e- akram (صلى الله عليه وآله) ke chachaa janaab-e- abbaas ke farzand jin ko banul'abbaas kahte hain syed hain is liye ke janaab-e- haashim ki aulaad me the

isi tarah hazrat abutaalib ke farzand janaab-e- taalib , aqil , jaafar-e- taiy'yaar , amirul momenin ali (عليه السلام) our aap hazaraat ki aulaad-e- zokur wa aenaas sabhi syed hain

farzandaan-e- janaab-e- haashim ko syed our banu haashim dono kahte hain

rasul-e- geraami (صلى الله عليه وآله) ki nasl , aulaad-e- narina se nahi chali is liye ke aap ki aulaad-e- zokur ka inteqaal bach'pan me hi hogaya tha
lehaaza aap ki nasl sirf aap ki beti janaab-e- saiyedah ( سلام الله عليها ) se chali

11 imaam our janaab-e- zaiynab wa umme kulsum (سلام الله عليهم) ka silsila-e- nasab amirul momenin ali (عليه السلام) ke zariye janaab-e- haashim tak our janaab-e- saiyedah (سلام الله عليها) ke zariye rasul-e- maqbul (صلى الله عليه وآله) tak pahunchta hai

isi liye aap hazaraat ki aulaad ki seyaadat zeyaadah mash'hur hai our momenin ke darmeyaan bhot mohtaram hain

Note :- (sawaal 1 ka Jawaab)

gunaahgaar syed ke aehteraam se marbut jawaab 3 rabius'saani ko de chuka hu jisko aap hazaraat "click here" pe click kar ke padh len
👇
Click here

 والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

4  / ربيع الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen