*Sawaal az : +96...............
Salamun alaikum wrb
Ham koi bhi Esa ghusl kar rahe ho Jiske bad wuzu karna zaruri nahi hai. .....ese ghusl ke darmiya (masalan sar or da'nya hissa dho liya ho ) or hadas hojaye to kya ghusl dobara karna hoga ya ghusl tamam karke wuzu kare
Shukriya
Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar hadas se moraad hadas-e- asghar hai to ghusl ke darmeyaan sarzad hone se ghusl baatil nahi hota , ghusl sahih hai. isi ghusl ko mokammal karen , dobaara shuru se karne ki zarurat nahi hai albatta benaabar aehteyaat-e- waajib wo chizen jin me tahaarat shart hai ( jaiyse namaaz waghaiyrah ) oun ke liye vozu bhi karna zaruri hai
( motaabiq nazar-e- mobaarak aayatullah sistaani)
agar moraad hadas-e- akbar hai to ghusl baatil hai , az sare nau (نئے سرے سے) ghusl karen
Note :-
(1) hadas-e- asghar :-
har wo chiz wa omur jo sirf vozu ka sabab bane jaiyse peshaab , paakhaana our maqad ( baiydhne ki jagah ) se hawa wa reyaah ka nikalna ...
(2) hadas-e- akbar :-
har wo chiz wa omur jo ghusl ka sabab bane jaiyse janaabat , our khawaatin ke liye haiyz wa nefaas waghiyrah
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
7 / ربيع الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Monday, January 14, 2019
Ham koi bhi Esa ghusl kar rahe ho Jiske bad wuzu karna zaruri nahi hai. .....ese ghusl ke darmiya (masalan sar or da'nya hissa dho liya ho ) or hadas hojaye to kya ghusl dobara karna hoga ya ghusl tamam karke wuzu kare
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment