Jo muslim ghar me paiyda huaa ous ka keya kamaal hai ? aur jo ghair muslim ghar me huaa ous ka keya qosur hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 16, 2019

Jo muslim ghar me paiyda huaa ous ka keya kamaal hai ? aur jo ghair muslim ghar me huaa ous ka keya qosur hai ?

Sawaal az :- Mohtaram janaab abbaas sb / delhi


ek sawal ye hai ke... Ham log musalman ke ghar hi Kyu paida hue ? aur jo kafir ke ghar bach'che paida hote hai unka kya kasoor hai ? Iska jawaab de riwayato se.


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


is ki mokhtalif waj'hen aur asbaab ho sakte hain, Allaama Majlesi (قدس الله سره) ne bahaarul'anwaar me taqriban 70 rewaayaton me mokhtalif asbaab ki taraf aeshaara kiya hai. yaqinan wa bela shubha aek mohim sabab ye hai :


takhliq ke pahle aalam-e-zar wa aalame arwaah me khoda ne insaanon ke saamne apni rabubiyat, Rasule Akram ki resaalat aur imaamon makhsusan Amirul Momenin Ali (صلوات الله عليهم) ki welaayat ko pesh kar ke ahd-o-paiymaan wa aeqraar liya tha


is ta'alluq se bahot saari aayaton aur motabar rewaayaton me aeshaara huwa hai, sirf aek aayat wa hadis ka hawaala ye hai :


(aaraaf aayat 172. is ko aayat-e-zar bhi kahte hain / osul-e-kaafi jild 1 ketaabut'tauhid p 133 - ketaabul hujjah p 412)


aulaad-e-aadam me se jo bhi Allaah ki rabubiyat aur Rasul-e-khoda ki resaalat par eimaan laaya wo musalmaan ghar me paiyda huaa aur jis ne is se inkaar kiya wo kaafir ghar me paiyda huaa aur jis ne rabubiyat, resaalat aur Amirul Momenin Ali aur baaqi imaamon (سلام الله عليهم) ki welaayat wa imaamat ka aeqraar kiya wo shia ghar me paiyda huaa


Ahd-o-paiymaan ka maqsad :


is ke mohim 2 maqsad bataa'ae ga'ae hain :


  1. bandagaane khoda par eitmaame hujjat, roz-e-qeyaamat ye na kahen ke ham ko rabubiyat, resaalat aur imaamat ke baare me kuchh nahi maalum tha, is se be'khabar the

  2. insaanon par eitmaame hujjat. roze qeyaamat ye na kahen ke  ham kaafir ya but parast ... ghar me paiyda huae lehaaza kaafir wa but parast ... hone par majbur the

  3. (aayat-e-zar me is maqsad ki taraf aeshaara huaa hai )


Wazaahat :


  1. Aalam-e-zar wa arwaah ke baare me mofasserin, mohaddesin, hokama, aur orafa ... ke darmeyaan eilmi wa tafsili bahas hai oun ko yahaan bayaan karne ka maqaam nahi

  2. khilqat ke pahle aalam-e-zar me liya jaane waala ahd-o-paiymaan dunya me aane ke baad yaad keyun nahi rahta ?

  3. is ka jawaab bhi bahot tafsili hai ba'taure aeshaara arz kar dun ; dunya me aane ke baad insaan is tarah maad'di zindagi me mashghul wa gharq ho jaata hai ke ous ahd-o-paiymaan ko bhul jaata hai


    dusre ye ke khoda ne insaan ki fitrat aur sarisht (سرشت) me maarefat-e-rab, resaalat aur imaamat wadiat farmaaei hai


    fitrat to har insaan ke paas hai. ye fitrat haq-o-haqiqat aur khoda talabi, resaalat wa imaamat shanaashi ki taraf hedaayat wa raahnumaaei karti hai. musalmaan ghar me paiyda ho ya ghaiyr musalmaan ghar me


    lehaaza jo bhi munharif ho aur deen-e-haq yaani islaam ke aelaawah kisi aur deen ko aekhteyaar kare wo apni saalim fitrat ke bar'aks gaya


    is ke asbaab daakheli hain ya beruni ? ye alag bahas hai


    daakheli jaiyse fitrat saalim na rahe is par masalan hawas, aeqtedaar, nafrat aur gunaah waghairah ka zang lag jaa'ae
    khaareji jaiyse


    Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


    كُلُّ مَوْلُودٍ يُولَدُ عَلَى اَلْفِطْرَةِ وَ إِنَّمَا أَبَوَاهُ يُهَوِّدَانِهِ وَ يُنَصِّرَانِهِ وَ يُمَجِّسَانِهِ


    har bach'cha fitrat (tauhid) par paiyda hota hai beshak ous ke baab (maa baap) ous ko yahudi aur nasraani aur majusi bana dete hain


    (oud'datud'daaei wa najaahus'saaei p 332 wa 333 taailf ibne fahd hilli)


    Mokhtasar wazaahat :


    "har bach'cha fitrat-e-tauhid wa islaam par paiyda hota hai, oun ke baap maa oun ko munharif wa gumraah kar dete hain. agar yahudi hain to bach'che ko yahudi bana dete hain, agar nasraani wa majusi hain to nasraani wa majusi bana dete hain"


  4. Aalam-e-zar wa misaaq (khilqat ke pahle) me liae jaane waale ahd-o-paiymaan se insaan majbur nahi hota balke saahebe aekhteyaar hi rahta hai. jis, deen wa mazhab ko chaahe aekhteyaar wa intekhaab kare aur jisko na chaahe ous ko aekhteyaar wa intekhaab na kare

kaafir ke ghar bach'che paiyda hote hain oun ka keya qosur hai ?


Sawaal ki wazaahat :


jo bach'cha kaafir, butparast, masihi, yahudi ... gharaane wa qabile me paiyda huaa to kaafir, butparast, masihi wa yahudi ... ho gaya


isme ous ki keya khata hai ? lehaaza baaligh wa aaqil hone ke baad mar gaya to azaab wa aeqaab keyun ? ous ko jahannam me nahi jaana chaahiae


aur jo bach'cha musalmaan wa shia ghar me paiyda huaa is me ous ka keya kamaal hai ?


kaafir, butparast, masihi aur yahudi ... ka bach'cha bhi musalmaan wa shia ghar me paiyda hota to wo bhi musalmaan wa shia hota, gumraah na hota


iska jawaab ye hai :


jis tarah lebaas, poshaak, ghar, gaadi, biwi, shauhar waghairah ke intekhaab me insaan mokhtaar wa baa'aekhteyaar hai ousi tarah din-o-mazhab ke aekhteyaar wa intekhaab me bhi mokhtaar hai.
musalmaan wa kaafir ghar me paiyda hone se ous ka aekhteyaar salb nahi hota lehaaza apne aekhteyaar se deen-o-mazhab ko aekhteyaar kar sakta hai


isi liae mazhab-e-shia me osul-e-din yaani aeteqaadi masaa'ael me taqlid haraam hai, ye tahqiqi masla hai taqlidi nahi. deen-e-islaam wa shiat maurusi (موروثی) nahi hai balke tahqiqi hai


agar insaan deen-o-mazhab ke intekhaab me baa'aekhteyaar na hota to insaanon ki hedaayat ke liae khoda anmbiya aur imaamon ko na bhejta, jo kaafir ghar me paiyda huaa wo kaafir rahta aur jo musalmaan ghar me paiyda huaa wo musalmaan hi rahta


dusre ye ke agar kisi deen-o-mazhab par baaqi rahna jabri hota to islaam dushman taaqaten arbon dollar wa rupiya aur tel ki daulat masihi, butparast, aur takfiri banaane ke liae kharch na kartin, apne baatil aqaa'aed wa nazariyaat ki tarwij ke liae azim sarmaaya na lagaatin, mokhtalif mulkon me hatta musalmaan mulkon me shion par aur shia aqaa'aed ... bayaan karne par paabandi na lagaaei jaati. Europe, America ... me hazaaron ki taadaad me log musalmaan wa shia na hote aur is ke baraks, baaz musalmaan gumraah na hote, aayatul kursi me padhte hain " لا اكراه فى الدين / laa aekraah fiddin"
"deen (aqaa'aed) me jabr wa zabardasti nahi hai"


in saari baaton se maalum hota hai ke khoda ne insaan ko fitrat wa aql di hai aur baa aekhteyaar wa saahebe aeraada paiyda kiya hai ye sab par bhaari hai lehaaza deen-o-mazhab ke intekhaab me insaan mokhtaar hai


musalmaan wa kaafir ghar me paiyda hone se aekhteyaar salb nahi hota, kaafir wa musalmaan ghar me paiyda hone ki wajah se azaab wa sawaab nahi hai balke sahi wa ghalat intekhaab ki wajah se azaab-o-sawaab hai.
albatta ye sahi hai, ghar, maahaul, school hatta gheza (خوراک) ka bhi asar hai, isme taasir hai lekin taasir wa jabr me farq hai, har taasir ko jabr nahi kahte


zane Firaun Janaab-e-aasiya ko dekhen kaiyse sakht wa kharaab maahaul me zindagi kar rahi thin ous ke baa'wojud apne eimaan ki is tarah hefaazat ki ke khoda ne misaal ke taur par aap ko pesh kiya, ya Janaab-e-nuh wa Lut ... ki biwi ach'chhe ghar wa maahaul me thin ous ke baad bhi gumraah ho gaein, Yazid Bin Mo'aawiya ke bete Mo'aawiya (al'maaruf ba mo'aawiya'ae dovwom) ko dekhen ous ke aabaa-o-ajdaat kaiyse the ? ghar ka maahaul kaiysa tha ? gheza wa khoraak bhi haraam thi in sab baaton ke baa'wojud Yazid ki seyaah maut ke baad mokhtasar muddat tak khalifa raha, aek din mimbar par jaane ke baad kaha mere baap Yazid par khoda ki laanat aur dada Mo'aawiyah par bhi khoda ki laanat ho oun logon ne khelaafat ko ghasb kiya tha, khelaafat oun ka haq nahi tha. tum log Imaam-e-sajjaad ke paas jaao, khelaafat oun ka haq hai khalifa wo hain ham nahi hain. in baaton ke peshe nazar kharaab maahaul wa gharaane ki taasir hai lekin is se aekhteyaar salb nahi hota


bela shak khoda aadil hai kaafir ghar me paiyda hone ke baad bhi jo eimaan laaya aur musalmaan ghar me paiyda hone ki wajah se jo musalmaan raha donon khoda ki nazar me yaksaan nahi hain


Note :


baaligh hone ke pahle jo bach'che mar ga'ae ya jo paagal hain ya jin par hujjat tamaam nahi huei aiysi jagah the ya hain jahaan haq ko samajhna momkin nahi to oun ka hukm alag hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

25 / ربيع الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen