Sawaal az : +9199.......
Salam
Agha ek sawal hai
Duniya ki zindagi aur jannat ki zindagi me kya farq hai kya jannat me bhi insan me khwahishaat hongi ya nhi duniya me shadi hai biwi hai bachche khana peena kamana jannat me kya alag hoga duniya se.jawab zaroor den shukriya
Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهDunya wa jannat ki zindagi me farq ke baare me aap ne sawaal kiya hai, dunya wa aakherat ki zindagi me farq ke baare me nahi puchhaa hai. aakherat me aalam-e-barzakh, qeyaamat aur is ke baad ki zindagi bhi hai jaiyse jannat wa jahannam
lehaaza sawaal ke peshe nazar sirf dunya wa jannat ki zindagi ke baare me aeshaara kiya jaa raha hai is liae ke jo sawaalaat aap ne kiye hain har aek ka jawaab dene ke liae mofassal ketaab chaahiae, bahar haal mokhtasar jawaab molaaheza farmaayen
Baaz farq ye hain :
(1) Dunya me taghaiy'yur-o-tabad'dul, inqelaab, tabdil-e-haalat aur fana wa maut hai, dunya aarezi hai, pahle bach'cha hai phir jawaan phir budha phir maut
lekin jannat me aiysa nahi hai ye mustaqil thekaana hai
surah-e-qaaf aayat 34 me hai :
" tum is jannat me salaamti ke saath daakhil ho jaao wo hamesha rahne ka din hoga "
surah mohammad aayat 15 bhi dekh len
(2) Bahot saare insaanon ke liae dunya aalam-e-ghaflat, naadaani, masti wa fareb hai
lekin jannat me aankhon ( آنکھوں ) se sab parde hat jaaen ge. khaahishaat, mafaadaat aur aarzuon ki wajah se hejaabon ne insaan ko andhere, laa-ilmi me rakha tha, jannat me ye parde hata diae jaaen ge
(3) Dunya zarf-e-shak hai lekin wahaan saari chizen do do chaar ki tarah waazeh wa raushan rahen gi
(4) Dunya sach, jhut aur haqq-o-baatil se aamekhta wa mili huei hai lekin jannat me aiysa nahi hai wahaan laghv ( لغو ) wa jhuti baat nahi
(5) Dunya maqaam-e-taklif wa imtehaan hai lekin jannat jaza wa paadaash hai
Rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :-
"Dunya aakherat ki kheti hai"
( jo dunya me bo-o-ge ( بوؤگے ) wahi aakherat me kaato ge )
(6) Dunya me jang, khun kharaaba, dushmani, nafrat aur ranj-o-gham ... hai
lekin jannat salaamti ka ghar hai, jahaan khun kharaaba aur kisi ke dil me kisi ki nafrat ya dush'mani na hogi aur ranj-o-gham wa taklif bhi nahi hai
Ahle jannat ki zindagi aur moaashera insaaniyat ke behtarin, nek aur saaleh logon se tashkil paae ga
Keya jannat me bhi khaahishaat hain ?
Ji hain
surah-e- fusselat aayat 31 me hai :
... yahaan tumhaare liae tumhaari man pasand chizen maujud hain aur jo chiz tum talab karo ge ( yaani jis chiz ki khaahish karo ge ) wo tumhaare liae ous me maujud hogi
hatta jannat ki nematen jannatiyon ki khaahish tak mahdud nahi, jin chizon ki wo khaahish to keya tasaw'wur bhi nahi kar sakte wo bhi oun ko mil jaaya karen gi
albatta dono aalam yaani dunya wa jannat ki khaahishaat me farq hai
jannat ki khaahishaat hamaare liae qaabil-e-fahm wa idraak nahi hain
Aaya jannat me khaana, pina ... hai ?
Ji khaana, pina jannati poshaak ... sab hai
is ta'alluq se surah-e-rahmaan aur surah dahr ( insaan ) ki aayaat 5 - 6 - 12 aur surah naba 32 - 34 aur waaqeaa me aayat 18 se dekh len aur surah mohammad aayat 15 bhi dekh len
in aayaat me jannati khaane pine ... ke baare me jo bataaya gaya, ya ous me jo lazzat rakhi hai, ya jannat ki jin nemaaton ke ausaaf bayaan kiae gae hain ye sab aek taabir hai oun nemaaton ko samjhaane ke liae warna wahaan ki nemaaton me jo lazzat hai dunya waalon ke liae qaabil-e-bayaan aur qaabil-e-idraak nahi hai
bahishti khaane, pine ... me aiysi lazzat hai ya wahaan ki nemaaten aiysi hain jin ke baare me ( ghair az masumin صلوات الله علیهم ) aaj tak na kisi aankhon ne dekha hai aur na hi kisi kaan ne suna hai
dunya ki nemaaten jannat ki nemaaton se moshaabeh zarur hain lekin dar haqiqat oun se juda hain, dunya ki nemaaton me takraar hai yaani aek chiz kaei baar khaaen to har martaba wahi lazzat milti hai aur aek din dil bhar jaata hai hatta oukta jaata hai jab ke jannat me har martaba naei lazzat aur naya zaaeqa hoga aur kabhi bhi dil nahi bhare ga aur ser nahi hoga
mokhtasar ye ke jannat ki nemaaten qaabil-e-tausif nahi hain
Jannat me shaadi, biwi , bach'che ... hain ya nahi ?
Ji hain
mard ke liae biwi aur biwi ke liae shauhar, yaani dono me shaadi jannat ki nemaaton me se aek nemat hai
Qur'aan me mokhtalif taabir se ye baat maalum wa saabit hai jaiyse :
... ولهم فيها ازواج مطهرة ...
( Baqarah 25 )
" ... oun ke liae jannat me paak jode hon ge ... "
( is aayat me "azwaaj" ka tarjuma jin logon ne biwiyaan kiya hai haqiqat se dur hai, yahaan "azwaaj" se moraad zan-o-shauhar hain )
" tum aur tumhaari biwi wa shuhar nehaayat khushi ke saath jannat me daakhil ho jaao "
( is aayat me bhi " ... azwaajokum ... " se moraad zan-o-shuhar hain, sirf biwiyaan nahi )
" ... oun ke saaleh aabaa-o-ajdaad wa zan-o-shuhar aur aulaad, jannat me daakhil hon ge ... "
" ... ham ounhen badi wa kaali aankho ( nargesi wa haran jaiysi aankhon ) waali aurat ya mard se beyaah kar den ge"
agar dunyaawi maa, baap, miyaan, biwi aur aulaad saaleh wa nek hain to jannat me daakhil hon ge
( is ta'alluq se surah raad ki aayat 23 / ghaafir ki 8 aur zokhruf wa rahmaan ki aayat 70 dekh len )
Rewaayat me hai ke agar dunyaawi miyaan biwi bahishti hon to donon jannat me miyaan biwi ke taur par aek saath rah sakte hain
Dunya me jin auraton ke do ... shuhar the wo kis ke saath rahen gi ?
ummul momenin janaab-e-umme salama se chand rewaayaten naql huei hain oun me hai :
Janaab-e-umme salama ne rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) se puchhaa ke dunya me jin auraton ke do shauhar the wo jannat me kis ke saath rahen gi?
to aap ne farmaaya :-
aurat ko aekhteyaar diya jaae ga ke oun me se jis ko chaahe ba-oun-waan-e- shauhar intekhaab kare
Khulasa-e-kalaam :
jannati auraten apni marzi aur pasand ke motaabiq yaa to apne saabiq jannati shauharon ki zaujiyat me aaen gi ya phir kisi dusre jannati ki zaujiyat me
Baaz rewaayaton se istefaada hota hai ke dunya me jo shauhar zeyaadah khush akhlaaq hoga ous ka intekhaab karen gi
( is intekhaab par dusre shauhar ko zarra baraabar taklif, ranj-o-gham wa sadma nahi hoga is liae ke jannat me ranj-o-gham wa taklif ... nahi hai )
Jin auraton ke shauhar jahannami hain aur biwi jannati jaiyse janaab-e-aasiya ya is ke bar'aks to oun ka keya hoga ?
oun ke liae bahishti shauhar faraaham kiae jaaen ge aur bahishti biwiyaan
Aur jin ki shaadi nahi huei thi oun ke liae bhi zan-o-shauhar faraaham kiae jaaen ge
jannat ki nemaaten mard aur aurat donon ke liae hain
Surah-e- baqara 25 me hai :-
" Ahle bahisht ke liae wahaan paak-o-paakiza jode hain "
Hum ki zamir se moraad tamaam bahishti hain lehaaza azwaaj se moraad zan-o-mard dono hain yaani dono ke liae jannat me jode hain
jannat me shaadi, nikaah, moqaarebat aur lazzaten sab kuchh hai lekin dunya ki tarah nahi, wahaan ki lazzat ka tasav'wur bhi nahi kiya jaa sakta hai, wahaan kasaafat wa gandagi nahi hogi safaaei aiysi hogi ke dunya waalon ke liae qaabil-e-bayaan nahi , dunya ki lazzat aaluda hai lekin wahaan ki khaalis wa paak-o-paakiza
Hur-o-ghilmaan ke ta'alluq se bhi bahas tafsili hai agar oun ko bayaan kiya jaae to jawaab mazid tulaani ho jaae ga
lekin aakhir me ye arz kar dun ke dono aalam yaani dunya wa jannat ki zindagi mokhtalif hai aur dono me faraawaan farq hain
samjhaane ke liae dunya aur aakherat wa jannat ki misaal wa tashbih rahim-e- maadar se di jaati hai jis tarah batn-e-maadar dunya me aane ke liae rahim hai ousi tarah dunya rahim hai aakherat me paiyda hone ke liye. rahim me aamaada hota hai dunya me aane ke liae ousi tarah dunya me aamaada hota hai aakherat me jaane ke liae
jab tak bach'cha rahim-e-maadar me rahta hai rahim-e-maadar ke baahar ki har chiz se be-khabar rahta hai ous ke liae baahar ki zindagi qaabil-e-fahm wa idraak nahi
jis tarah aek janin ke liae aalam-e-dunya aur ous ki chizen qaabil-e-fahm nahi hain ousi tarah dunya waalon ke liae aalam-e-aakherat wa jannat aur ous ki chizen qaabil-e-fahm nahi
dunya mahdud hai aur aakherat wa jannat naa mahdud, dunya chhoti hai aur aakherat wa jannat badi, laa mahdud wa badi chiz mahdud wa chhoti chiz me nahi aa sakti hai
ye doa beraadaraan wa khaharaan sab ko padhni chaahiae is liae ke hurul ein ( حور العين ) sirf mardon se makhsus nahi hai :
اَللّهُمَّ زَوِّجنِى مِنَ الحُورِ العِين
( forue kaafi jild 5 p 376 ketaabun nikaah )
aiy khoda badi wa kaali aankho ( aahu chashm wa nargesi aankhon ) waali aurat ya mard se meri shaadi kar
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
22 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel