Asalamun Alaikum
Q- Maulana sb.
Aksar zakir Member pe se padhte hai k DAR-E-ZEHRA (sa) Pe Farishte 3Din lagataar aaye or Rotiya le gaye..
Kabhi Garib ban k
Kabhi Meeskin ban k
Kabhi Yateem ban k
Mere Zehan ye baat baar baar aati hai k farishte ne aakhir jhoot Q bola?
Wo v Dar-e-Sayyeda pe?
Farishto k Maa Baap nhi hote to wo yateem kaise kaha Apne ko?
Meharbani kr k mera confusion door kre..
Wasalam
Syed Arshad Abbas
Patna City
Bihar
India
094........
Ans:-
w.salam wrwb
surahe dahr (insan) ki Aayat number 8 me hai khane ki ashad zarurat ke bawojud miskin, yatim our asir ko khana khilate hain .
is me koiy shak nahi ke ye Aayat hazrat Ali (alayhis'salam) janabe Fatemah (alayhas'salam) imame Hasan wa Hussain (alayhomus'salam) our janabe Fizzah ki shaan me naazil huiy , nazr ki thi ke imame Hasan wa Hussain (alayhomus'salam) ki sehat yaabi ke baad tin roze rakhen ge
pahle , dusre our tisre din waqte iftaar miskin , yatim our asir ko rotiyaan dedin our paani se iftaar kiya ...
sawaal ye hai ke sawaali yani miskin , yatim our asir farishte the ya insan?
agar maanlen ke farishte the tab Aap ka sawaal our baat sahi hai :-
in logon ka farishta hona saabit nahi hai bataure dalil wa qarina chand baaten peshe khidmat hain :-
(1) Aayaat ka tasalsul wa rabt insanon ke bare me hai masalan Aayat 1 me insan ka zikr hai , 29 me hai(ghair az janabe Aadam wa haw'wa) insaan ko makhlut nutfe se payda kiya (farishte nutfe se payda nahi hote ) Aayat 3 me hai ham ne apne raaste ki hedayat kardi khaah shukr guzaar bane our khaah naashukra
shukr guzaar wa naashukra banna ekhteyari Amal hai ye insaanon se marbut hai. farishte saahebe ekhteyaar nahi hain inke liye sirf eak hi raasta hai, wo hai Aeta'at
Aayat 5 me Abrar yani nek log ka zikr hai
ye bhi insaan hi se marbut hai isliye ke farishte bure nahi hote Aayat 6 me Aallah ke bandon ka zikr hai
abd insan hote hain farishte nahi
Aayat 7 me hai jo nazr puri karte hain ...
insan nazr karte hain farishte nahi
Aap ne molaheza farmaya ke ye saari Aayaten insan se marbut hain is ke baad miskin , yatim our asir ka zikr hai Aayaton ka rabt wa seyaaq btaaraha hai ke miskin , yatim our asir bhi insan hi hain farishte nahi hain isliye ke in Aayaton me kahin farishton kaa zikr nahi hai. baad ki Aayat bhi insan se marbut hai
(2) farishton ko maaddi ( مادی ) khaane ki zarurat nahi hoti insan khaana khaate hain farishte nahi
(3) jab ham miskin , yatim our asir ke matlab par tawajjoh karten hain to maalum hota hai ke agar inse moraad farishte hon to ye zaahire Qur'aan ke barkhelaaf hai our inka matlab farishton par durust wa saadiq nahi Aaata
miskin mash'hur taarif ke motabiq :-
miskin wo hai jis ke paas kuch naho maali wa Aeqtesaadi lehaaz se iski zindagi faqir se badtar ho
farishte miskin nahi hote lehaaza aane waala miskin insaan wa musalmaan tha
yatim :- ous naa baligh bach'che ko kahte hain jis ka baap guzar gaya ho *farishton ke baap nahi hote lehaaza aane waala yatim mohaajerin ki aulaad me se tha
( Aalbatta janwaron me yatim ous bach'che ko kahte hain jis ki maa margaiy ho).
asir :- mash'hur tafsir wa taarif ke motaabiq wo hain jo kuffaar wa mushrekin se jang ke dar meyaan musalmaanon ke zariye asir hue
(maajra tafsili hai , rasul-e- khoda ke zamane me is waqt ki tarah jail (qaiyd khana) nahi tha lehaza rasul-e- khoda ne asiron ko musalmaanon ke hawaale kardiya tha taa ke in ka kheyaal rakhen , jab musalman (mezbaan) kharch nahi chala paate the to dusre musalman in ki zarurat puri karte the ...)
zaahir hai farishte , asir nahi ho sakte pas ye asir kuffaar o mushrekin me se aek insaan tha
(4) haqir ne shia wa sunni ki baz mash'hur o maaruf wa qadimi tafsir ki ketabon me dekha , is me mujhe nahi mila ke Amirul momenin Ali (alayhis'salam) ke dar par sawali ban kar aane wale miskin , yatim aur asir farishte the
shia tafsir :-
majmaoul baysan
at'tibyaan
saafi
...
sunni tafsir :-
fakhr-e- raazi
ma'aal-e- mut'tanzil al maruf ba baghawi
...
albatta baaz sunni ketabon me hai ke pahle din sawaali ban kar janab-e- jibrāil aae , dusre din mikāil aur tisre din israafil , aur baz ketabon me hai tino din janab-e- jibrāil aae
Note :-
in aayaton me ahl-e- bait-e- rasul aur janab-e- fizzah ke eisaar aur aekhlaas ka zikr hai ye hamare liye dars wa sabaq hai hatta kuffaar o mushrekin asir hon to oun ka bhi kheyaal rakhna zaruri hai , ba nam-e- islam wa rasul kisi par zulm nahi kar sakte
is surah me maqaam-e- Abrar ko bataya gaya hai , ahl-e- bait-e- rasul ki aakheri fazilat ko nahi , maqaam-e- ahl-e- bait , maqaam-e- Abrar se baala tar hai , agar maan len ke is me ahl-e- bait ki aakheri fazilat ko bayaan kiya gaya hai to ahl-e- bait aur janab-e- fizzah me farq nahi rahe ga is liye ke shan-e- nozul me janab-e- fizzah bhi sharik hain lehaza miskin , yatim aur asir ko insaan maane ya farishte farz kar len, asl waaqae wa fazilat par farq nahi padne wala
ba har haal ye aayaten aap hazaraat ki shaan me naazil huei hain is me aap ke eisaar aur aekhlaas ko bataaya gaya hai
dar-e- ahl-e- bait-e- ismat o tahaarat par farishton ka aana dar haqiqat aap hazaraat ke liye baes-e- fazilat nahi balke farishton ke liye baes-e- iftekhaar hai ke aap ke dar par aaen aur khidmat karen
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari kadime edara-e- daarul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e- sawalat Qum / iran
5 / محرم / 1438 ھ.ق
Subscribe my channel
Tuesday, January 22, 2019
Aksar zakir Member pe se padhte hai k DAR-E-ZEHRA (sa) Pe Farishte 3Din lagataar aaye or Rotiya le gaye.. Kabhi Garib ban k Kabhi Meeskin ban k Kabhi Yateem ban k Mere Zehan ye baat baar baar aati hai k farishte ne aakhir jhoot Q bola? Wo v Dar-e-Sayyeda pe? Farishto k Maa Baap nhi hote to wo yateem kaise kaha Apne ko?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment