keya surah jum'ah me roze jum'ah se moraad Imaame Zamaana (atfs) hain ? | jum'ah ka qadimi naam | jum'ah se imaam ka ta'alluq - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, January 14, 2019

keya surah jum'ah me roze jum'ah se moraad Imaame Zamaana (atfs) hain ? | jum'ah ka qadimi naam | jum'ah se imaam ka ta'alluq

Sawaal az : +9665........


Salamun alaikum wrb


Aaj ek video clips dekhi pak zakir ki majlis jisme unhone kaha hai ke Surah-e-juma ( ...من يوم الجمعة ) me juma se murad imam zamana ajtf hai

Kya ye sahi hai kisi hadees me koi zikr hai bataye

Agar koi reference ho to zarur batayega


Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى

علیكم السلام و رحمةالله و بركاته

ye surah-e-jum'aa ki aayat 9 hai. haqir ne shia tafsir ki mokhtalif ketaabon me dekha, ous me mujhe is tarah ki baat nahi mili


tafsir wa taarikhi ketaabon me likha hai ke jum'aa se moraad hafte ka saatwaan wa aakhri din hai


zamaana-e-qadim me yaumul'jumaa ( roze jum'aa) ko yaumul'arubah (يَومُ العَرُوبَه) kaha jaata tha. arubah bahot qadim naam tha magar baad me ye naam badal gaya aur is din ko jum'aa kaha jaane laga, yahi naam raa'aej ho gaya agar kaha jaae ke jum'aa islaami naam hai to ghalat nahi hoga


albatta roz-e-jum'aa se imaam-e- zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ka gahra rabt hai


imaam-e-saadiq (عليه السلام) se tafsili rewaayat hai, ous me hai :


۔... يَخرُجُ قَائِمُنَا اَهلَ البَيتِ يَومَ الجُمُعَه ...۔

( kamaaluddin p 164 / al'khesaal jild 2 p 394)

"... hamaare ahlebait ( khaandaan ) ke qaa'aem, roz-e-jum'aa khoruj wa zohur karen ge ..."


yaani roz-e-jum'aa, ghaibat-e-kubra ke khatm hone aur zohur-e-imaam ka din hai


imaam-e-zamana ( عجل الله تعالی فرجه شریف ) ke chaahne waalon ko chaahiae ke is din doa-e-nudba ... padh kar zohur-e-imaam ke liae khud ko aamaada karen


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


۔9 / ربیع الثانی / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen