*Sawaal az : mohtaram janaab abbaas sb / delhi*
Salamun alaikum wrwb
Ye bataye ke ek ldki ke shohar se bachche hui or talaq ho gya or dusri shohar se shadi karli or uske bhi bache ho to ..in dono ke bachche apas me shadi kar sakte hai ???
Jawaab:-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةا لله و بركاته
Wo bhaaei our bahen jo aek maa (ماں/mother) se paiyda hue hain lekin baap 2 hain, ye dono aek dusre ke liye mahram hain (Isliye ke dono ka rahim mushtarak wa aek hai. Maadari bhaaei behan huye)
our is ke bar'aks wo bhaaei our bahen jin ki maa 2 hain yaani do alag alag maa se paiyda huye hain lekin baap aek hai , ye bhi aek dusre ke liye mahram hain ( is liye ke dono pedari bhaaei bahen huye)
Is aetebaar se in me our aiyse 2 bhaaei bahen me koiy farq nahi hai jo aek hi maa baap se paiyda huye hain
Lehaaza ye aapas me shaadi nahi kar sakte hain, Shaadi karna haraam hai.
Note:-
agar pahle waale shauhar se kisi aurat ke paas ladki hai to dusra shauhar is ladki ki shaadi apne ous ladke se kar sakta hai jo is aurat se paiyda nahi huwa hai
(is liye ke dono yaani ladka wa ladki ki maa alag hain our Baap bhi alag hain)
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat / Qum / iran
30 / ربيع الاول / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
Saturday, December 15, 2018
Ye bataye ke ek ldki ke shohar se bachche hui or talaq ho gya or dusri shohar se shadi karli or uske bhi bache ho to ..in dono ke bachche apas me shadi kar sakte hai ???
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment