Talqine may'yit se moraad | kab se raa'aej huei | sabab | faa'aede | kitni jagah mustahab hai ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, December 6, 2018

Talqine may'yit se moraad | kab se raa'aej huei | sabab | faa'aede | kitni jagah mustahab hai ?

Sawaal az : .....


Salamun alaikum aaga


Marne ke baad murde ko jo sun aur samajh bola jaata hai iski kya illat hai.
Jab ki sabhi maiyyat ko wahi baat samjhai jati hai chaahe wo waqt ka aalim ho ya jaahil.
Jawab audio aur tafseel me ho to inayat hogi.


Jazakallah.


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


Mokhtasar jawaab :


ye talqin ke aek jumla (اسمع یا اسمعی اور افهم یا افهمی) ka tarjuma hai.


talqin me banda'ae momin ko mokhaatab kar ke ous amr ki tazkir wa yaad dilaaei jaati hai jis par wo dunya me hota hai yaani amre tauhid, resaalat, imaamat ...
marne ke baad maiy'yit ko ous ke aqaa'aed ki tazkir karna wa yaad dilaana mustahab hai


murda aalim ho ya jaahil, eimaan qawi ho ya kamzor, sab ko ous dunya me madad, raahat, eitminaan aur dhaaras ki zarurat hoti hai. albatta kisi ko kam madad ki zarurat hoti hai to kisi ko zeyaadah lekin zarurat sab ko hoti hai is liae ke marne ke baad ki dunya sab ke liae hai olama hon ya aam insaan


aiyse khatar'naak aur khauf'naak waqt me momin ko tasalli, dilaasa aur madad ki shadid zarurat hoti hai, is kaam ke liae aek behtarin amal talqin hai


Tafsili jawaab :


loghat me talqin ka matlab :


taalim, samjhaana, sikhaana, yaad dena aur kisi ko koei kalaam wa baat kahne par aamaada karna


istelaah me matlab :


murde ke liae mokhtalif maraahil me makhsus aadaab ke saath wo azkaar padhna jin ka zikr talqin me hai


Sabse pahle talqin kis ne ki ?


kaha jaa sakta hai ke sab se pahle talqin karne waale Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) hain


Janaabe Ibne Abbas se naql huaa hai ke :



"Hazrat Ali (عليه السلام) ki maadare geraami Janaabe Faatema Binte Asad ki tadfin ke waqt Rasule Geraami (صلى الله عليه وآله) aap ke sar'haane khade huae aur farmaaya
ay Faatema ! jab munkir wa nakir aap ke paas aa'aen aur aap ke Parwardegaar ke baare me sawaal karen to jawaab me kahiae Allaah mera khoda hai aur mere Rasul Mohammad hain mera din islaam hai aur qur'aan meri ketaab hai aur mera farzand Ali mera imaam wa wali hai"


(wasaae'lush shia jild 3 p 176)


Talqin ketni jagah mustahab hai ?


3 jagah mustahab hai aur is ki bahot sefaarish wa taakid ki gai hai


  1. Waqte aehtezaar (احتضار) yaani jaan kani wa dam todte waqt

  2. Qabr me outaarne ke baad aur mitti dene ke pahle

  3. mitti dene wa daalne ke baad

Talqin ka falsafa wa taasir :


3 mohim faa'aede hain :


  1. Shaitaan ke bahkaawe me aane se nejaat

  2. Imaame Saadiq (علیه السلام) ne farmaaya :


    "wo tamaam log jo jaan kani wa dam todne ki haalat me hote hain iblis apne shayaatin me se aek ko hukm deta hai ke marne waale ke qarib jaao aur ous ko kufr ka hukm do aur ous ke din me shako shubha eijaad karo yahaan tak ke jaan nikal jaa'ae aur jo bhi momin hai ous par shaitaan ghaalib nahi aata hai (yaani momin ke dil me shubha paida nahi kar paata hai) pas jab bhi tum apne murdon wa amwaat ke paas haazir ho to ous ko tauhid, nabuwat ki talqin karo yahaan tak ke inteqaal ho jaa'ae"


    (forue kaafi jild 3 p 123 ketaabul janaa'aez baab talqinul maiy'yit)


  3. Wah'shat se nejaat :

  4. jab koei insaan aek jagah se dusri jagah jaata hai ya aek ghar se dusre jadid ghar me tanha wa akela jaata hai to wah'shat, eizteraab, tars ... ka hona aam baat hai


    marte waqt ya marne ke baad insaan aek naei jagah jaata hai, qabr ki taariki se darta hai bechain, be'qaraar, parishaane haal aur ghabraaya huaa hota hai hatta maut ke naam se darta hai. aiyse aalam me is ko madad, eitminaan aur dhaaras ki zarurat hoti hai lehaaza is se nejaat ke liae aur tarso wah'shat kam karne ke liae aek behtarin amal talqin hai


  5. aeteqaadaat ki yaad dehaani :

  6. maasumin ya jin ki ismat aur welaayat maasumin se moshaabeh hai jaiyse Janaabe Zaiynab, Janaabe Abbaas, Janaabe Ali akbar, Janaabe Maasuma'ae Qum waghairah (سلام الله عليهم) ke aelaawah sab ko nakiro munkir ke sawaalaat ka jawaab dena hai


sawaalaat bahot aasaan hote hain, taqriban wahi sawaalaat hote hain jis ka dars bachpan me hamaari maa aur bahno ne apne bach'chon ko padhaaya tha ; Allah ketne hain ? Rasul kaun hai ? Imaam ketne hain ? hamaari ketaab ka naam keya hai ? din ... keya hai ?


lekin imtehaan bahot sakht hota hai. ye imtehaan aetna sakht hota hai ke baaz log apna naam tak bhi bhul jaate hain
imkaan hai ke baaz log nek wa saaleh aamaal hone ke baa'wojud apne aeteqaadaat ko bhul jaa'aen


lehaaza aiyse hassaas mauqe par faraamoshi aur izteraab ko bartaraf karne ya kam karne ke liae talqin karne ke liae kaha gaya hai
taake marne waale ko apne aeteqaadaat yaad aa jaa'aen aur qabr ke is sakht imtehaan me padha huaa darso sabaq yaad aa jaa'ae aur sahi jawaab de kar kaamyaab ho jaa'ae


rewaayat me ye bhi hai ke jab talqin kar li jaati hai to munkir, nakir se kahte hain is ke paas se chalo keyon ke is ko is ki hujjat talqin kar di gaei


(yaani sawaal karne ki zarurat nahi hai beghair sawaal kiae chalo)


(tahzibul ahkaam jild 1 p 322 baab 13 talqinul mohtazerin ... / forue kaafi jild 3 p 201 ketaabul janaaez)


Waazeh rahe ke Maasumin (سلام الله علیهم) se marwi rewaayaat ke motaabiq qabr me sawaal karne waale 2 farishte aate hain, ghair momin, kaafir aur faasiq ke liae intehaaei wahshat'naak wa khauf'naak shakl me nakiro munkir aate hain aur momin ke liae be'had masrur wa khubsurat chehre waale bashir aur mobash'shir aate hain


khulaasa-e-kalaam :


dunyaawi zindagi khatm hone par insaan ke liae 3 waqt bade sakht wa khatarnaak hain. aek jaan kani ka, dusra tadfin ke baad qabr me, tisra nakiro munkir ki jaanib se hone waale sawaalaat ka


is liae zinda logon ko chaahiae ke in kathin (کٹھن) wa sakht maraahil me talqin aur namaaze wahshat wagairah ke zariae apne peyaaron ki bhar pur madad karen taake ye maraahil sahal wa aasaan ho jaa'aen.
talqin karne me saraasar faa'aeda hai keyon ke talqin me jo kuchh kaha gaya hai ous se maiy'yit maanus hoti hai


Note :


talqin karne ki ye baaz eil'laten wa hikmaten hain, dusri eil'laton aur haqiqi falsafe ka ilm khoda aur ous ke barhaq jaanashino ko hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


24 / ربيع االاول / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen