namaaze maghrib wa aesha ke auqaat | dono namaazon ka aakheri waqt kaun sa hota hai ? | aadhi raat maalum karne ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, December 17, 2018

namaaze maghrib wa aesha ke auqaat | dono namaazon ka aakheri waqt kaun sa hota hai ? | aadhi raat maalum karne ka tariqa

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Zeya Abbas sb. (Delhi)


Salam arz hai


Mai delhi se hu, sawaal ye hai ke maghrib aur isha ki namaz qazaa hone ka kya waqt hai (mai office se takriban 11:30 pm me ataa hu aur office se aa kar mujhe namaaz padhni hai tab mai kis niyat se namaaze magrib aur isha ada karu)


Regards,
Syed zeya abbas | zey........s@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Agar kisi ke saath koei majburi nahi hai to namaaze maghrib wa aesha ka waqt aadhi (nifs) raat tak hai lekin agar muztar (majbur wa naachaar) hai ya koei dusra shar'ei ouzr wa sabab hai jaiyse namaaz padhna bhul ga'ae yaa soo ga'ae ya maahwaari (ماہواری) se koei khaatun paak huei'n yaa bimaari waghairah waghairah aur aadhi raat tak nahi padhi to is surat me tolu'ae fajr (waqte azaane subh) tak padhi jaa sakti hai ouski namaaz adaa hai (ye izteraari waqt hai)


(baa motaabiq fatwa Aayatullah Sistaani aur baaz dusre maraaje keraam jaise Aayatullah Makaarim Shiraazi)


Wazaahat :


jo bayaan kiya ous ke peshe nazar adaa namaaz ki niyat se padhen aur agar bayaan kiye ga'ae mas'ale wa waqt ke motaabiq amal nahi kiya to qaza ki niyat se padhen


Note :


  1. raat aw'wale ghorub se tolu'ae fajr tak hai lehaaza agar aap nisf raat ka hesaab lagaana chaahen to Delhi ke waqt ke motaabiq suraj ghorub hone se tolu'ae fajr tak ka waqt shumaar karen, majburi na hone ki surat me is ka nisf aesha ki namaaz ka aakheri waqt hoga (aur yahi nisf raat hogi)

  2. Farz kar len agar kisi shahar me suraj 6 baje ghorub hota ho aur fajr ki azaan ( tolu'ae fajr) 4 baje hoti ho to nifs Raat 11 baje hogi aur agar suraj 5 baje ghorub hota ho aur tolu'ae fajr 6 baje ho to nifs Raat 11:30 baje hogi, isi tarah hesaab lagaaya jaa'ae ga


  3. agar kisi ke saath majburi nahi thi aur namaaze maghrib wa aesha aadhi raat tak nahi padhi to benaabar aehteyaate waajib azaane subh ke pahle adaa wa qaza ki niyat kiye beghair namaaz ko baja laa'aen aur agar azaane subh ke baad padhen to qaza ki niyat karen

  4. namaaze maghrib wa aesha dono ka makhsus wa mushtarak waqt

  5. namaaze maghrib ka makhsus waqt aw'wale maghrib se ous waqt tak hai jab 3 rak'at ke baraabar namaaz padhne ka waqt guzar jaa'ae


    aur namaaze aesha ka makhsus waqt ous waqt tak hai jab aap ke paas sirf itna waqt hai ke namaaze aesha padhte padhte aadhi raat ho jaa'ae


agar kisi ne namaaze aesha ke makhsus waqt tak amadan namaaze maghrib nahi padhi to pahle namaaze aesha padhe phir namaaze maghrib is liae ke ye waqt namaaze aesha se makhsus hai


aur jo waqt namaaze maghrib wa namaaze aesha ke makhsus waqt ke darmeyaan ka hai ye dono namaaz ka mushtaraka waqt hai. is darmeyaani waqt me jab bhi chaahen pahle namaaze maghrib padhen phir namaaze aesha agar pahle namaaze aesha padh li to baatil hai lekin agar kisi ne ghalati se namaaze aesha pahle padh li aur baad me motawajjeh hua ke namaaze aesha namaaze maghrib se pahle padhi hai to is surat me namaaze aesha sahi hai lekin iske baad namaaze maghrib padhna zaruri hai.


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat / Qum / Iran


29 / ربيع الاول / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen