Kisi kaa intaqal ho jaaey to kya matti manzil ke pahle fatiha padha jaata hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, December 16, 2018

Kisi kaa intaqal ho jaaey to kya matti manzil ke pahle fatiha padha jaata hai?

Sawaal az : mohtaram janaab farhan Ali sb / patna City

Mobile number
+91 84........29

Kisi kaa intaqal ho jaaey to kya matti manzil ke pahle fatiha padha jaata hai

Jawaab: 

                           باسمه تعالى

                          سلام عليكم

marg ke pahle jaiyse vaqte aehtezaar ( احتضار ) our marg ke baad bhi amwaat se marbut aadaab wa ahkaam hain , in me vaajebaat , mustahabbaat our makruhaat hain

Har shakhs ke inteqaal ke baad hi se aalame barzakh (عالم برزخ) shuru ho jaata hai lehaaza marne ke Baad murde ko har nek kaam wa khaiyraat ka sawaab bakhsha jaa sakta hai, maiy'yit ghar me ho ya kahin our. 

magar baaz aiyse aamaal jo dafn hone ke baad se makhsus hain jaiyse namaaze vahshat ( صلوة ليلة الدفن ) is ko dafn hone ke baad pahli raat hi me padh kar bakhsha jaa sakta hai is ke pahle nahi

"Imaam-e-saadiq (علیه السلام) ne farmaaya" 
اِنَّ المَیَّتَ لَیَفرَحُ بِاالتَّرَحُّمِ عَلَیهِ وَالِا ستِغفَارِ لَه کَما یَفرَحُ الحَیُّ بِالھَدِیَّةِ تُھدی اِلَیه
( وسائل الشيعه ج2 ص 655 ح 2 )

jis tarah zinda hadiya se khush'haal hota hai , jo ous ko diya gaya ousi tarah murde bhi tarahhum , talabe rahmat wa maghferat se shaad wa masrur hote hain jo oun ke liye ki jaati hai

hadis me maiy'yit kaha hai , ye nahi kaha ke murda dafn hone ke baad , hadiya se khush'haal hota hai
lehaaza inteqaal ke baad , mitti wa manzil dene ke pahle bhi maiy'yit ke liye faateha padhi jaa sakti hai

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad /patna - shobae sawaalaat Qum / iran

8  /  ربيع االثانى  / 1440ھ.ق

🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹
ولادت باسعادت امام حسن عسکری (عليه السلام ) بہت بہت مبارک 
🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹 🌹
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen