Sawaal az : .....
Agha salamun alaikum
Sawal yeh hai ki khums me sehme Imam ke liye ejazah hai ya is ke alawah aur kahan kharch ho sakta hai mai Sistani sahab ki taqlid me hun
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
khums ke 2 hisse hote hain aadha (نصف) sahme imaam (عليه السلام) aur aadha sahme saadaat.
Aayatullah Sistaani ke nazdik mustahaq saadaat ko sahme saadaat dene me mujtahid ki aejaazat zaruri nahi hai
lekin tamaam maraaje ke nazdik sahme imaam (عليه السلام) haakime shar (mujtahide jaame'oush sharaa'aet = جامع الشرائط) ki aejaazat ke motaabiq kharch ho lehaaza jo bhi sahme imaam (عليه السلام) kharch karna chaahata hai wahin kharch kar sakta hai jahaan ke liae aejaazat li hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat / Qum / Iran
25 / ربيع الاول / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment