Sar ya bhaun par masnu'ei baal lagwaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, December 18, 2018

Sar ya bhaun par masnu'ei baal lagwaane ka hukm

Sawaal az : +9188...91


aslkm agha
i have one qestion that is


kya ham hair transplant karwa sakte hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mokhtasar jawaab


Baalon ki paiywand kaari (پیوند کاری) masnu'ei baal lagwaane wa jodne ki surat me ho ya jadid surgery ke zariae ougaa'ae jaa'aen, agar badan (khaal) par paani pahunchne me rokaawat banen to nahi kara sakte hain is liae ke wozu wa ghusl me khaal par paani pahunchna zaruri hai.


Qadre tafsili jawaab


baalon ki paiywand kaari ki 2 surat wa tariqe hain :


  1. gond (گوند) ya iske maanind chipkaane waali chizon ke zariae sar aur abru (بھوں / eyebrow) par masnu'ei baal chipkaa'ae wa jode jaate hain.

  2. beghair gond waghairah ke jadid surgery wa laser (لیزر) ke zariae sar wa abru par ougaa'ae wa jamaa'ae jaate hain, is tariqe me baal baarik wa naazuk suei (سوئی) ki tarah khaal ke niche se nikaalte hain, ye aam baalon ki trah badhte rahte hain, yaani asli wa zinda baalon ki trah hain.

  3. pahli surat me paani badan tak nahi pahunchta hai, wozu aur ghusl sahih nahi hoga, lehaaza nahi lagwaa sakte hain. dusri surat me baal badan ka juz wa hissa ban jaate hain (yaani asli baalon ki trah hi hain) badan par paani pahunchne me rokaawat nahi hai lehaaza is surat me hair transplant karwa sakte hain, jaa'aez hai.
    ba'sharte ke ye baal insaan ya halaal gosht jaanwar ke hon


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


1 / ربیع الثانی / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen