sawaal az : ......
Salaamunalaikum Maulana
Sab khairiyat
Mujhe job me pareshaani ho rahi kuchh bhi karta hoon kamyaab nahi ho pa raha. Koi dua dijiyega.
please do not share my number while giving reply
Maula aapko jazaye khair ata kare. Elahi ameen
Jawaab:
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
الحمد لله
rizq wa rozi me zeyaadti ya kaamyaabi ke mokhtalif asbaab aur wojuhaat ho sakti hain, masalan kisi kaam ko soch bichaar ke baad karna, tajroba wa mahaarat, kaam wa rozi talaash karna, milne ke baad masruf wa mashghul rahna aur sabro tahammul se karna waghairah waghairah
aur is me kami ya naa kaam hone ke bhi mokhtalif asbaab ho sakte hain, misaal ke taur par kisi kaam ko be-ghair soche samjhe karna, tadbir wa hoshiyaari ka na hona, susti wa kaaheli aur kaam chhod kar bhaag jaana yaani kaam karne me mustaqil mezaaj na hona, kaam me mushkelaat aur sakhtiyon ko tahammul na karna waghairah waghairah
Ye wo asbaab hain jin ki wajah se rizq wa rozi me kaamyaabi ya naa kaami ho sakti hai
lehaaza pahle aap naa kaami ke asbaab maalum kar ke oun ko dur karne ki koshish karen aur saath hi saath doa'aen waghairah bhi karen, bela shak doa me bahot taasir hai lekin doa kaam ki jagah nahi le sakti hai balke kaam milne aur ous ko pura wa tamaam karne me madad-gaar hai
bahar haal chand aiysi namaaz, doa'aon aur azkaar ka zikr kiya jaa raha hai jis se aap ki haajat puri ho sakti hai ya mushkelaat hal ya aasaan ho sakti hain
Rizq wa rozi me zeyaadti aur wus'at ke liae :
- shab-e-pir aadhi raat me 2 rak'at namaaz padhen aur sajda me 70 martaba ya wahhabo (یا وَھّابُ) kahen
- har roz namaaz-e-subh ke baad 10 martaba surah-e-qadr padhen
-
jo bhi surah-e-aadiyaat (عادیات) ko hazrat ali (علیه السلام) ke adad (110) ke baraabar padhe aur is surah ko apne saath rakhe to rozi aiysi jagah se mile gi jahan ke baare me gumaan wa kheyaal bhi nahi tha aur jo shakhs is surah ko bahot padhe ous ka qarz adaa hoga aur tamaam makhluqaat ke shar se mahfuz rahega inshallah
(motabar rewaayaat ke motaabiq ye surah hazrat Ali ( علیه السلام) ki shaan me naazil huaa hai, jang-e-zaatus salaasil (ذات السلاسل) me kuffaar par kaamyaabi ke baad)
-
is aayat ko 40 dino tak har roz namaaze subh ke baad 27 martabah padhen
اِنَّ اللهَ ھُوَ الرَّزَّاقُ ذُوالقُوَّةِ المَتِین
innallaaha howar'raz'zaqo zu-quwatil matin
( zaareyaat - 58 )
-
Imaame Baaqir (علیه السلام) ne farmaaya :
Rozi ke liae har waajib namaazon ke sajdon me zikr-e-sajda ke baad ye padhen
یَا خَیرَ المَسئُولِین وَ یَا خَیرَ المُعطِین اُرزُقنِی وَرزُق عِیَالِی مِن فَضلِکَ فَاِنَّکَ ذُوالفَضلِ العَظِیم
Yaa khairal mas'oulin wa yaa khairal motin ourzuqni warzuq aeyaali min fazleka fa-inna'ka zul-fazlil azim
-
shab-e-jum'aa se surah-e-waaqe'ah ko padhna shuru karen aur dusri shab-e-jum'aa tak har shab 5 martaba padhen aur har martaba padhne ke baad ye doa bhi padhen
اَللَّهُمَّ اِنِّی اَسئَلُکَ رِزقاً وَاسِعاً حَلَالاً طَیِّباً بِغَیرِ کَدٍّ وَ اِستَجِب دُعَائِی بِغَیرِ رَدٍّ وَ اَعُوذُ بِکَ مِنَ الفَقرِ وَ الدَّینِ وَ صلی الله علی محمد و آله الطاهرین
Allaa'humma inni as'aloka rizqan waa-se'an halaalan taiy'yeban be-ghaire kad wa is-tajib doaa'ei be-ghaire rad wa a'ouzo be'ka menal-faqre wad'daine wa sallal'laaho alaa mohammad wa aalehit-taaherin
is surah (waaqea) ko har shab padhne se bhi faqr-o-tang'dasti dur hoti hai, haajat puri hoti hai, is ke be shumaar maaddi wa maanawi aasaar wa barakaat hain
- jetna ho sake istighfaar karen
- har roz awwal-e-subh 380 martaba "ar razzaaqo (الرَّزَّاقُ) kahen aur hameshaa "yaa waaseo" (یا وَاسِعُ) padhte rahen
-
baad az namaaz-e-subh is zikr ko hamesha padhen
اَللَّهُمَّ اَغنِنِی بِحَلَالِکَ عَن حَرَامِکَ وَ بِفَضلِکَ عَمَّن سِوَاک
Allaa'humma aghneni be-halaalek an haraamek wa be-fazle'ka amman sewaak
shuru wa aakhir me salawaat bhi padhen
Parishaani wa mushkelaat dur hone ke liae :
-
jab bhi shadid parishaani wa gham-o-andoh ho to sajda me is zikr ko padhen
لَاِ الهَ اِلَّا اَنتَ سُبحَانَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِین
( anbiya - 87 )
Is zikr ko zikr-e-yunosiya kahte hain janaab-e-yunos ne batn-e-maahi me is zikr ko padha to khoda ne in ko nejaat di
Sajde ke aelaawah bhi is ko padhna chaahiae, olama wa orafa ne is zikr ki be shumaar khosusiyaten bataa'ei hain, is me ajib asar hai, bimaar par padhne se shefa milti hai, be-aulaad biwi ke paas jaane se pahle isko padhen to saaheb-e-aulaad hote hain
-
is zikr ko hamesha padhen
یَا اَبَا الغَوث اَغِثنِی یَا وَلِیَّ الله اَدرِکنِی بِلُطفِکَ الخَفِی لَاِ الَهَ اِلَّا اَنتَ سُبحَانَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِین
Yaa abal-ghaus aghisni yaa wali'yallaah adrikni be-lutfe'kal khafi laa'aelaaha illa anta sub'haana'ka inni kunto menaz'zaalemin
Imaam-e-zamana (عج) ne aek buzurg aalim-e-din se farmaaya talab-e-haajat ke liae baabul hawaa'aej alamdaar-e-karbala janaab-e-abbas (علیه السلام) se tawassul karo aur tariqa bhi bataya ke is tarah kaho :
یَا اَبَا الغَوث اَدرِکنِی
Sakhti wa mushkelaat bar taraf hone aur talab-e-haajat ke liae :
maghrib ka naafela padhne ke baad 100 salawaat padh kar 70 martaba is azim zikr wa ism-e-aazam ko padhen
یا الله یا محمد یا علی یا فاطمه یا حسن یا حسین یَا صَاحِبَ الزَّمَان اَدرِکنِی وَلَا تُهلِکنِی
Yaa allah yaa mohammad yaa ali yaa faatemah yaa hasan yaa husain yaa saahebaz'zamaan adrikni wala tohlikni
phir 100 martaba salawaat padh kar haajat talab karen
"ek dusra zikr is tarah hai"
یا محمد یا علی یا فاطمه یا حسن یا حسین یا صاحب الزمان ادرکنی وَلَا تَدَعنِی
Yaa mohammad yaa ali yaa faatemah yaa hasan yaa husain yaa saahebaz'zamaan adrikni wala tadaani
Is ko bhi hamesha padhen, imaam-e-zamaana ne farmaaya ye iksir (اکسیر) se bhi behtar hai
hammo gham dur hone ke liae :
sahifa-e-sajjaadiya ki doa No 54 padhen :
Haajat puri hone ke liae :
namaaze isteghaasa janaabe Saiyedah (سلام الله علیها)
(is ka tariqa mafaatihul jenaan me likha hai)
Aayatul kursi aur zeyarate Aashura hamesha padhne ke bhi zindagi me bahot saare maaddi wa maanawi aasaar-o-barakaat hain
Note:
- baaqi namaazen, azkaar aur doa'aen waghairah mafaatihul jenaan me dekh len
-
jo namaazen, azkaar aur doa'aen bayaan ki gaein oun ki taasir ke liae zaruri hai ke pahle tauba karen aur gunaah jaiyse jhut, ghibat, naa mahram ki taraf dekhna, haraam khaana, be-hejaabi waghairah ko tark karen, waajebaat par amal karen aur haraam se parhez karen aur dusre aadaab wa sharaa'aet jaiyse tahaarat waghairah ka bhi paas-o-lehaaz rakhen
phir in ki taasir dekhen, dunya ke saare olum-e- ghariba ( علوم غریبہ ) aur iksir fail ho jaaen ge
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhar
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim aabaad / Patna - shoba-e- sawaalat Qum / iran
22 / ربیع الاول / 1440 ھ.ق