Azaadaari me ghair shar'ei aur ghair akhlaaqi rasmo rewaaj ki eijaad jaahelaana wa shar'an haraam hai - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 15, 2018

Azaadaari me ghair shar'ei aur ghair akhlaaqi rasmo rewaaj ki eijaad jaahelaana wa shar'an haraam hai

Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Zulfeqar Hussain Sb. (Banka - Bihar)


As salamo alaikum aagha


Ye video Nagram Tamilnadu ki hai jiski wajah se yaha bahut zyada logo'n me ikhtelaaf ho rakha hai aur har koi apni taraf se fatwa laga raha hai, aap kuch batae'n ke kya aisi azadaari sahi hai?


Taalibe dua Syed Zulfeqar Hussain. Banka Bihar.


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Saiyedush'shohada Imaam Husain (عليه السلام) aur aap ke baa'wafa as'haab ke yaume aza ki monaasebat se maatami daston aur anjumano ki shakl me nauha khaani aur sina zani karna, jolus nikaalna aur is me sharik hona yaqinan mustahab aur bahot pasandida kaam hai balke afzale qorabaat (افضل قربات) hai yaani khoda se sab se zeyaadah nazdik karne waala amal wa aebaadat hai aur is amal ke bahot saare asaraat wa barakaat bhi hain


lekin is ko mun'aqid karne waale aur is me sharik hone waale ous waqt is ki barkat aur azim ajro paadaash se faiyz yaab (فیض یاب) hon ge jab is baat ki taraf tawajjoh ho ke azaadaari me keya hona chaahiae ? aur keya nahi hona chaahiae ? ye bahot mohim hai aur wo kaam jo shar'an haraam hain ous se parhez karen


is me bhi koi shak nahi ke azaadaari ki rosumaat me apnon ki ghaflat, naadaani ya hemaaqat aur bad khaahon ki saazishon ki badaulat kahin kahin ghair manteqi, ghair shar'ei, ghair akhlaaqi pahlu nazar aata hai jo na sirf azaadaari ke maqaasid se ham aahang nahi balke yaqinan is se shi'at ke hawaale se bhi ghalat paiyghaam muntaqil hota hai


isi liae haqir ne baaraha taakid ki hai ke azaadaari apne rewaayati andaaz me ki jaa'ae jis tarah hamaare samajh'daar buzurg hazaraat azaadaari karte aa'ae hain ousi tarah ham bhi karen


har roz nai nai rasmon ke eijaad ka natija yahi hai


Nagram (A-P) me be parda ladkiyon ka naa'mahram mardon ke darmeyaan se guzarna wa ... aur is ko dekhna shar'an haraam hai aur gunaahe kabira


is tarah ka amal kisi makhsus aelaaqe se mahdud nahi hai balke puri qaum wa shi'at se is ka ta'alluq hai lehaaza is ko kahin bhi bardaasht nahi kiya jaa sakta hai


Nagram ke momenin mukhlis hain aur aqidat ke saath Imaam Aali maqaam ka gham manaate hain is taraf ke aksar aelaaqon me haqir jaa chuka hai bahot ach'chhe aur mazhabi log hain


yaqinan ghaflat ki wajah se aiysa kaam huaa hai main momine nagram ka shukriya ada karta hun ke is ghalati ki taraf jaldi motawajjeh huae aur baargaahe aelaahi me tauba ke saath saath qaum se bhi maazerat ki is tarah is fitne ko dafn kar diya


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


2 / ربيع الاول / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen