Sawaal az : .....
Salam arz aagha,
Ek mere azeez dost ka sawaal hai.
Sawaal ye hai ke uske walid ne 2 shaadiya'n ki lekin dono wife aur bach'che me se kisi ko bhi ek shauhar aur baap ka haq jo islam ne bataya hai nahi diya balke baaz dafa wo apni saari aulaad ko ye kahte hain ke tum meri aulaad hi nahi tumhaari maa ne ghalat tariqe se tumhe paida kiya hai.
Unka bada beta taqreeban 40 saal ka hai hai aur jab se hosh sambhala hai khud mehnato mazdoori kar ke khud ka aur apni bahano maa ke akhraajaat poora karta jab ke uske walid bahut bade post pe government job me the aur kuchh arse pahle retire kiya hai.
Ek martaba mere dost ko uske walid ne kaha ke Maine ek talwaar tere liye khareeda hai taaki tujhe qatl kar sakoo'n.
Mera dost Jo ke apne walid se 60 km ki doori pe rahta hai gusse me walid ke pass gaya aur bola ke qatl karo mujhe.
Bahut tu tu mai mai hui.
Aur isi tarah ki kai wardaat in logo me walid ki wajah se ho chuki jab wo apni wife ko ilzaam lagata ke tum ne ghalat kar ke aulaad paida kiya waghaira waghaira ...
Ab mere dost ka sawaal ye hai ke kya usne gunaah kiya walid ke saath jhagda kar ke, kyun ki usne apni maa ki ismat ke liye ye qadam uthaya hai aur poora samaj uski maa ki ismato paak daaman hone ki gawaahi deta hai.
Iska jawaab dijiye ke inlogon ka kya rawayya uske walid ke saath hona chahiye .
Kya mera dost gunaah ka murtakib hai aur usko baap se maafi maangni chaahiye ..
mujhpe bhi us bande ne ilzaam lagaya hua tha ek martaba bina MATLAB ka..
Jawaba ka muntazir .
Jawaab:
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jo shakhs paak daaman auraton par zena ka ilzaam lagaae to is jurm ko fiqhi istelaah me qazf ya le'aan (قذف یا لعان) kahte hain, is par shadid saza wa azaab hai aur aiyse shakhs par allah ki laanat hai
Surah nur aayat 4 me hai :
"aur jo log paak daaman auraton par bad-kaari ki tohmat lagaa'aen phir is par 4 gawaah na laa'aen pas inhen assi (80) kode maaro aur inki gawaahi hargiz qabul na karo ye faasiq log hain"
Assi (80) kode lagaane ka hukm hai is liae hai ke mokhtasar aekhtelaaf waghairah ki wajah se bela sobut logon ki izzato aabru ke saath khelne ki koei jur'at na kare (kisi mard par bhi bela sobut ilzaam lagaane ka bhi yahi hukm hai)
Baap ke saath soluk wa rawaiy'ya (سلوک و رویہ) :
Amirul momenin ali (علیه السلام) ne farmaaya
اِنَّ لِلوَلَدِ عَلَی الوَالِدِ حَقّاً وَ اِنَّ لِلوَالِدِ عَلَی الوَلَدِحَقّاً...
aulaad ke liae waalid par haq hai aur waalid ke liae aulaad par haq hai ...
(nahjul balaagha hikmat 399)
yaani dono ke aek dusre par kuchh hoquq wa zimmedaariyaan hain, oun ko ada karna aur oun ka paaso lehaaz rakhna zaruri wa waajib hai
Jis tarah baap wa maa ke haq ko adaa na karne ki surat me aulaad aaq (عاق) ho jaati hai ousi tarah agar waaledain apne haq ko adaa na karen to aaq ho jaate hain.
Lekin is baat ka kheyaal rahe ke agar waaledain ya aulaad apni zimmedaariyaan anjaam na den to ye sabab nahi banega ke dusre bhi apni zimmedaari ko anjaam na den.
lehaaza jaiysa ke aap ne likha hai baap apne haq ... ko ada nahi kar rahe hain to ye dalil wa sabab nahi banega ke baap ki be-aehteraami ki jaae aur apni zimmedaariyaan anjaam dene me kotaahi ki jaae
Maa baap ka aehteraam aur oun ke saath neki karna, oun ko aziyat wa taklif na dena har haalat wa surat me zaruri wa laazim hai hatta agar maa baap kaafir wa mushrik hon
Waaledaiyn par aehsaan aham tarin fariza hai
Behtar hai surah isra ki aayat 23 aur 24 padh len ous me hai
...بالوالدین احسانا...
"... waaledain ke sath neki wa aehsaan karo ..."
is aayat me qaabile tawajjoh baat ye hai ke khoda adl wa aehsaan ka hukm deta hai lekin is aayat me khoda ne ye nahi kaha ke waaledain ke saath adl-o-insaaf wa baraabari karo balke aehsaan karne ke liae kaha hai
agar aehsaan ki jagha khoda adl kahta to kaha jaa sakta tha ke agar wo apni zimmedaari ko anjaam na den to adaalat ka taqaaza ye hai ke tum bhi apni zimmedaari ko anjaam na do agar oun ka rawaiy'ya wa soluk sahi wa monaasib nahi hai to tumhaara rawaiy'ya aur soluk bhi waiysa hi ho
Khoda ne aehsaan karne ke liae kaha hai yaani waaledain ke faa'aede ke liae, shakhsi faa'aede ko nazar andaaz karo. Feda kaari wa eisaar karo
lehaaza waaledain ach'chhe hon ya bure apne faraa'aez ko anjaam den ya na den ... tum oun ke saath aehsaan wa neki karo
aap ke dost ke waalid ki bad raftaari wa ghalat rawaiy'ya ko bardaasht karna yaqinan sakht hai
Lekin agar sabro burdbaari se kaam len aur khoda ki khushnudi, khoda pasand kaam samajh kar aehteraam wa neki karen to qat'an ye mushkil aasaan ho jaa'aegi.
ye samajh len ke baap ki ye bad raftaari, zindagi ki mushkelaat, ruhaani wa nafseyaati kamzori ya sin rasida ya dusri wojuhaat ki bena par ho sakti hai
baap ki ghaltiyon se chashm poshi (چشم پوشی) karte hue baap ke saath aehsaan wa neki karen. dunya wa aakherat me khair wa bhalaa'ei hai
Waaledain ke saath husne soluk karne waala nek bakht hai aur bura soluk karne waala bad bakht hai
is baat me koei shak nahi ke waaledain ke saath bura soluk karne waale ke liae dunya wa aakherat me barbaadi hi barbaadi hai
Rewaayat se istefaada hota hai ke apne qaribi rishtedaar aur azizon makhsusan maa baap se ta'alluq todne (توڑنے) ka dunya me kamtarin noqsaan ye hai :
Shadid faqr, maal par ash'raar ka qabza wa aazaar-o-aziyat, ruhaani wa nafseyaati mushkil, umr kam hona aur naagahaani maut waghairah
aur aakherat me noqsaan ye hai ke bahisht ki khushbu nahi sungh paaega.
(tafsil ke liae osule kaafi jild 2 baab qat'eiyatur rahim aur baabul oquq dekh len)
Beta ne jo kiya aaya gunaah hai ya nahi ?
Agar ous waqt hosh kho baithe the, hawaas baakhta the lehaaza khud ko control nahi kar paae, ye sab kuchh ghair aekhteyaari taur par huwa to gunaah nahi hai
Albatta baap ka aehteraam waajib hai. Is ke pesh-e-nazar maazerat kar len to behtar hai ba'sharte ke mazid jhagda wa ladaaei ka dar na ho
Raahe hal :
Jo kuchh aap ne likha hai ous ta'alluq se baap se baat karne ke liae kisi aise qaabil-e-aetemaad shakhs se kahen jo baap ka hamsin hai aur baap ous ki baat bhi maante hain
lekin baap na samjhen ke aap ke dost (beta) ne baat karne ke liae kaha hai
Behaqqe mohammad wa aale mohammad (سلام الله علیھم) inshaa'allah khoda madad karega naa-oummid na hon
Khush dili ke sath apne waaledain ki khidmat karen aur oun ka adab-o-aehteraam kar ke jannat ke haqdaar banen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad /patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
17 / ربيع الاول / 1440 ھ.ق
ولادت با سعادت رسول اکرم اور آپ کے فرزند امام صادق علیھم السلام بہت بہت مبارک