rasul our nabi me keya farq hota hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 8, 2018

rasul our nabi me keya farq hota hai?

*Sawaal az : mohtaram janaab Abbas sb / delhi*

rasul our nabi me keya farq hota hai
mera no na den

Jawaab:-

                           باسمه تعالى

                  سلام عليكم و رحمةالله

Nabi:-

is ki asl wa maad'da (مادہ) yaani jis chiz se lafz-e- nabi banaaya gaya hai ous ke baare me 2 qaul hain

(1) naba (نبا) :-

loghat me is ka matlab paiyghaam ya mohim paiyghaam our khabar  hai
*tamaam aelaahi paiyghambaron ko nabi isi vajah se kahte hain ke khoda ke paiyghaam ko bandon tak pahunchaaya ,  oun ko khabar dene waale the*

(2) Nabawah (نَبَوَه) :-

agar maan len ke nabi nabawah se bana hai to loghat me iska matlab rif'at wa balandi hai
*nabi ka maqaam wa martaba baland hai is liye paiyghambaron ko nabi kahte hain*

Rasul (رسول) :-

is ki asl wa maad'da risl (رِسل) hai , ye is se banaaya gaya hai
loghat me risl ka matlab hai aaraam wa itminaan ke saath aage badhna, mehar baani se pesh aana

*khoda ki taraf se bheje hue paiyghambaron ko hukm diya gaya tha ke bandagaane khoda ke saath aaraam, itminaan wa meharbaani se milen , raftaar wa ravish itminaan wa narmi ke sath ho*
*is vajah se paiyghambaron ko rasul kahte hain*

"Nabi aur rasul me farq"

ye tafsili wa eilmi mauzu hai lehaaza sirf chand rewaayaat ka zikr karta hun , is me baaz farq ki taraf aeshaara kiya gaya hai :

(1) imaam-e- baaqir (عليه السلام) se janaab-e-zoraara naql karte hain :*

" ... nabi wo hain jo khaab me dekhte hain ( is ke zariye se wahye aelaahi 《 وحى الهى 》 ko daryaaft karte hain ) our (farishta) ki aawaaz ko sunte hain lekin farishte ko nahi dekhte hain

 rasul wo hain jo aawaaz ko sunte hain our khaab me bhi dekhte hain our bedaari me bhi farishta-e- wahi ka moshaaheda karte hain ... "

(2) imaam-e- baaqir (عليه السلام) farmaate hain :*

" ... rasul wo hain jin ke rubaru jibraeil naazil hote hain our aankho ke zariye jibraeil ko dekhte hain our jibraeil se baaten bhi karte hain ... "

" our nabi wo hain jo khaab me dekhte hain jaiyse janaabe ibraahim ka khaab ... "

( yaani farishte ko khaab me dekhte hain ous ki aawaaz sunte hain lekin farishte ko aankhon se nahi dekhte hain )

( osul-e- kaafi jild 1 p 176 baabul farq baiynur'rasul wan nabi ... )

in rewaayaton ke motaabiq resaalat ka maqaam wa martaba nabuwat se baala tar hai , nabi ke baad rasul bante hain

*is ta'alluq se aek dil chasp rewaayat molaaheza farmaayen*

*imaam baaqir (عليه السلام) farmaate hain :*

*" ... be shak khoda ne janaabe ibraahim ko banda qaraar diya qabl is ke keh nabi banaae our nabi qaraar diya qabl is ke keh rasul banaae our rasul qaraar diya qabl is ke keh khalil banaae our khalil qaraar diya is ke pahle ke aap ko imaam banaae*

*jab ye saari chizen ( bandagi , nabuwat , resaalat , khul'lat ) aap me jama ho gaein to khoda ne farmaaya :*

        *" ... انى جاعلك للناس اماما ... "*

*me  tumhen  logon ka  imaam banaane waala hun*

(osul-e- kaafi jild 1 p 175  ketaabul huj'jah)

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad  / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

29 / صفر / 1440 ھ.ق

ایک روایت کے مطابق:
*◾ روز  شہادت  امام رضا  عليه السلام  کی مناسبت  سے  تعزیت و تسلیت  پیش کرتا  ہوں◾*

Subscribe my channel


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen