Assalamualaikum wrwb
Janab aapke is(Sawal o jawab) mehnat Se mashallah bhot faida hy aor dusre afrad bhi bhot istefada hasil kr rahe hy.. jazakallahu khairal jaza.
Haqeer ka ek sawal hy maine ek hadis padhi
IMAM MOHAMMED BAQER (A.S.) se
Jo shakhs Ali (a.s) ko pehchaan liya woh momin hai aur jis ne nahi pehchaana wo kafir hai. (usul e kafi 2/238)
Lekin humne Baraha Suna hy majliso me "Rasool Allah s.a.w.w ne farmaya Ya Ali tumhe kisi ne na pehchana siwaye mere ya Allah ke".
To is per thodi wazahat chahta hu k kya imam ki Murad yaha per pehchanne se kya hai.??
Wassalam
Syed Abrar Hussain
Azimabad Patna Bihar
Jawaab:-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ
Hadis is tarah hai
یَا عَلِی مَا عَرَفَ اللهَ حَقَّ مَعرِفَتِه غَیرِی وَ غَیرُكَ وَمَا عَرَفَكَ حَقَّ مَعرِفَتِكَ غَیرُ الله وَ غیرِی
(manaaqibe aal-e- abi taalib jild 3 p 267 / matbuaa / daarul azva / beirut)" ay ali , khoda ko mere our aap ke aelaawah jo is ki maarefat ka haq hai ous tarah kisi ne nahi pahchaana our aap ko mere our khoda ke aelaawah jo aap ki maarefat ka haq hai ous tarah kisi ne nahi pahchaana "
Ye hadis mokhtalif aebaarat wa matn ke Saath Shia wa sunni ki motabar ketaabon me naql huei hai
aek hai ilm our aek hai maarefat , dono me farq hai
ilm ka matlab sirf daanaaei wa aagaahi (دانائی و آگاہی) hai ba aebaarat-e- digar ilm yaani zaaheri shanaakht
lekin maarefat ka matlab hai kisi chiz ki pahchaan wa shanaakht ous ki khosusiyaat wa aasaar ke saath ho. ba aebaarat-e- digar kisi chiz ki haqiqat ko paa lena maarefat hai
is matlab ke peshenazar har maarefat ilm hai lekin har ilm maarefat nahi hai. maarefat ilm se baala tar wa aek qadam aage hai
Ilm ke moqaabil wa mokhaalif jahl (جہل) hai our maarefat ke moqaabil wa mokhaalif inkaar hai
isi liye rasul-e- khoda (صلى الله عليه وآله) ne is trah nahi kaha :.
"مَا عَلِمَكَ حَقَّ عِلمَک غَیرُ الله وَغَیرِی...”
" ... ay ali sewaae khoda wa mere aap ko kisi ne nahi jaana jis tarah aap ko jaanne ka haq hai "
balke farmaaya :
“...مَا عَرَفَكَ...”
Is hadis me imaam shanaasi ki taraf aeshaara kiya gaya hai yaani imaam ki shanaakht wa pahchaan, khosusiyaat wa aasaar ke Saath hai ya imaam ki haqiqat ko paa lene ki taraf aeshara hai
is hadis me imaam se sirf aagaahi our waaqefiyat ki taraf aeshara nahi hai , is liye ke bhot saare log imaam se aagaah our waaqif the our hain
lekin imaam ki haqiqi wa asli maarefat wa shanaakht nahi hai
Hazrat Ali ki haqiqi wa asli shanaakht khoda ko hai ya rasul-e-khoda (صلوات الله علیھم) ko, isme koiy shak nahi hai
jis tarah khoda our maasumin (صلوات الله عليهم) ko hazrat ali (عليه السلام) ki shanaakht hai ous tarah aam insaan ko shanaakht wa maarefat nahi hai
Lehaaza is hadis me hazrat ali (علیه السلام) ki haqiqi wa asli maarefat ki taraf aeshaara kiya gaya hai
albatta har insaan apni leyaaqat , salaahiyat our zarfiyat ke motaabiq maarefat haasil kar sakta hai , raasta band nahi hai
Hazrat Ali (علیه السلام) ki shanaakht wa maarefat khoda our maasumin (صلوات الله علیھم) ki tarah nahi ho sakti hai lekin janaab-e-salmaan, misam-e-tammar, abuzar, ammaar, meqdaad, our maalik-e-ashtar wa janaab-e-fizza,... Ki tarah to ho hi sakti hai
Jin hadison me masalan kaha gaya hai "jo Ali a.s ko pehchaan le wo momin hai our jo na pahchaane wo kaafir hai"
yahaan shanaakht wa pahchaanne se moraad hazrat ali (عليه السلام) ki imaamat wa velaayat ka aeqraar hai , is par eimaan hai
Jaane ke ye hujjat our valiy-e-khoda hain our is baat par yaqin ho ke aap rasul-e-khoda ke bela fasl khalifa hain, waajebul aeta'aat hain. Hamaare aamaal par shaahid hain our tabligh-e-din, logon ki hedaayat, our raah-e-haq me paayedaari our isteqaamat (پائیداری و استقامت) ke Saath gharibaana (غریبانہ) shahid bhi hue
our na pahchaanne se moraad aapki imaamat wa velaayat our jo bayaan kiya ous se inkaar hai
Yaqeenan jo aap ki imaamat wa ghaiyrah par eimaan rakhe, is ko qabul kare wo momin hai our jo is se inkaar kare wo kaafir hai
Imaam-e-saadiq (علیه السلام) ne farmaaya
“...مَن عَرَفَنَا کَانَ مُومِنَاً وَ مَن اَنکَرَنَا کَانَ کَافِرَاً...”
(osul-e- kaafi jild 1 p 187 baab farzo taa'atil a'eimma)
" ... jo ham (12 imaamon) ko pahchaane (yaani 12 imaamon ki imaamat ko qabul kare) to momin hai , our jo ham (12 imaamon) ka inkaar kare wo kaafir hai ... "
Is ki vajah ye hai ke aap hazaraat ki imaamat ka munkir, dar waaqe munkir-e-khoda our munkir-e-rasul-e-khoda (صلوات الله علیھم) hai our jo bhi khoda wa rasul-e-khoda (صلی الله علیه وآله) ka munkir hai wo kaafir hai
Note:-
(1) tafsili hadis our mazid maalumaat ke liye osul'e- kaafi jild 1 ketaabul hujjah me baab maarefatul imaam our baad ke safahaat dekh len
(2) imaamat ka munkir kaafir hai , is se moraad aaya istelaahi kaafir hai ya kuch our moraad hai ?
Ye aek tafsili mauzu hai. Bataur-e-mokhtasar bata dun ke agar inkaar ta'assub bughz-o-aenaad our dushmani me na ho to munkir par musalmaan hone ka hukm jaari hoga ye paak hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna shoba-e- sawaalaat Qum / iran
15 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment