Sawaal az : mohtaram janaab Zafar Ahmad Naqvi sb pratapgarh
As Salam walekum qibla Eid e zahra aur imame zamana ki taj poshi Mubarak ho
Qibla Kya ghair Sadat apne ko jafri likh sakta hai apne name ke aage please reference bhi dijiyega
Shukriya qibla maula aapko Salamat rakhe
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
آپ کو بھی بہت بہت مبارک ہو
Jaafari shi'on ko kaha jaata hai lehaaza jo bhi shia hai syed ya ghair syed ous ko jaafari kah sakte hain aur apne naam ke hamraah likh sakte hain
lekin agar kahin ye laqab syed se makhsus hai ourfe aam me jaafari likhne se syed samjhaa jaata hai to jaafari wa syed aek hi baat huei, aiysi jag'hon par ghair syed ko jaafari likhna ya kahna yaani syed zaahir karna hai
Lehaaza aiysi jag'hon par jaafari likhna ya kahna jaa'aez nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
12 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
No comments:
Comment