ghusl karte waqt agar baalti me chhinten paden to keya ous ka paani najis ho jaae ga ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 15, 2018

ghusl karte waqt agar baalti me chhinten paden to keya ous ka paani najis ho jaae ga ?

Sawaal az:-.....

Salamun Alaikum.


Ye sirf mera nahi balke bahot se gao ke un logo ka sawaal hai jahan light ki problem hai aur wo ghusl karne ke liye masalan 2 balti pani bharke ghusl khane me rakhte hai aur ek balti ke pani se jism ki aine nejasat (chiknahat) waghaira ko dur karte hai aur dusri balti ke pani se ghusl karte hai jabke pahli balti ke pani ko istemal karte waqt uski chhite dusri balti me bhi gayi hai to kya aisi surat me us dusri balti ka pani paak hai? Aur usse ghusl ho sakta hai?


Jawaab:-


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

agar yaqin hai ke dusri baalti me jo chhenten (چھینٹیں) padi hain wo najis thin to paani najis ho gaya , is liae ke aabe qalil me najaasat padne se najis ho jaata hai , baalti ka paani aabe qalil hai lehaaza is se ghusl aur wozu nahi kar sakte hain is liae ke ghusl aur wozu ke liae paani ka paak hona shart hai

Note :

baalti aiysi jagah rakhen jahaan najis chhinten na paden


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / صفر / 1440 ھ.ق


Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen