sawaal az : .....
Asalam alaikum
Umeed hai ki aap khairiyat se honge.
Aap hamare sawaloon ka tafseel se jawab dete hain is ke liye bohat bohat shukriya.
Janab agar koi ladki ghar se bhaag kar ma baap ki ijazat ke baghair adaalat me (court marriage) kar le kya us ka nikah shar'ei aetebaar se sahi hai. agar sahi hai to kis aetebaar se sahi hai, agar sahi nahi hai to kis aetebaar se sahi nahi hai,
Aap ka mamnoon
Gulzar ahmad
Jawaab:
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
شکریہ
Jo ladki baalegha, aaqela, baakera, (باکرہ، عاقلہ، بالغہ) aur rashida bhi hai yaani apne baare me bhalaa'ei wa behtari ko pah'chaanne aur tashkhis ki salaahiyat wa samajh rakhti ho
aur apni zindagi ke omur me mustaqil naa ho yaani kharch waghaiyrah Baap ke zimme ho to Shaadi karne ke liae wali yaani Baap ya daada ki aejaazat shart wa zaruri hai.
Wali ki aejaazat ke beghair nekaah baatil hai.
Maa aur bhaa'ei ki aejaazat shar'an zaruri nahi hai. (albatta baap ya daada ke na hone ki surat me behtar hai bade bhaa'ei aur maa ki aejaazat se shaadi kare.)
aur agar apni zindagi ke omur me mustaqil hai to is surat me bhi benaabar aehteyaate waajib wali se aejaazat le warna aqd Baatil hai.
bahar-haal agar aqd ke baad wali mokhaalefat na kare raazi hai yaa baad me raazi ho jaae to yahi aqd kaafi wa sahi hai ba'sharte ke nekaah sharaa'aet ke motaabiq padha gaya ho ( sharaa'aet tauzihul masaa'ael me dekh len )
albatta aehteyaatan dobaara aqd padh liya jaae to behtar hai.
( ba'motaabiq nazare mobaarak aayatullah sistaani )
Chand surat wa haalat me wali (baap ya daada) ki aejaazat zaruri nahi hai
- agar ladka shar'an wa ourfan yaani ourfe aam me ladki ka kof (کفو) hai, ous ke liae monaasib hai ous ke baa'wojud baap ya daada beghair sabab wa wajah apni zid par hain mokhaalefat par kamar baandhe huae hain to is surat me aejaazat zaruri nahi hai lehaaza agar sharaa'aet ke motaabiq aqd padha gaya hai to kaafi wa sahih hai.
- diwaangi ya bewaqufi (بے و قوفی) ya is ke maanind chizon ki wajah se wali me aejaazat dene ki ahliyat wa salaahiyat na ho
- wali ke ghaa'aeb hone ya kisi aur wajah se aejaazat lena momkin na ho aur ousi waqt ladki ko shaadi ki shadid zarurat ho to baap ya daada ki aejaazat zaruri nahi hai.
(baaz Baap wa daada aiyse hain jo is shara'ei haq ka ghalat istemaal karte hain lehaaza ous ko rokne ke liae ye shari'at ka hukm hai)
( ba'motaabiq nazare mobaarak aayatullah sistaani. mazeed tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len. )
NOTE :
- shia ladki ki shaadi sunni ladke se makruh hai ( yaani jaa'aez hai haraam nahi hai lekin tark karna anjaam dene se behtar hai ), albatta baaz maraaje ke nazdik benaabar aehteyaate waajib jaa'aez nahi hai lekin agar is shaadi ki wajah se gumraahi me padne ka dar ho to tamaam maraaje keraam ke nazdik jaa'aez nahi hai.
- jis mas'ale me aehteyaate waajib kaha gaya hai ous ka matlab ye hai ke fatwa nahi hai lehaaza ous mas'ale me sharaa'aet ke motaabiq kisi dusre marja se roju kar sakte hain.
- waaledain se badh kar aulaad ka hamdard wa haami koei bhi nahi ho sakta hai lehaaza oun ki marzi wa aejaazat dar waaqe aulaad ki hemaayat hai apne tajrebaat ki wajah se dhoka khaane aur jazbaat me ghalat jagah shaadi karne se bachaate hain.
( musalmaano ke darmeyaan baaz aiyse firqe hain jo khud ko musalmaan samajhte hain lekin dar haqiqat wo kaafir wa mushrik ke hukm me hain. jaiyse naasebi, khawaarij aur wo ghaali jis ki mazammat motabar rewaayaat, aqaa'aed aur fiqh me ki gaei hai ous se shadi karna jaa'aez nahi hai )
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat / Qum / iran
11 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
No comments:
Comment