Sawaal az : +9192........29
Test tube baby ke liye kya hukm hai
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
shar'ei taur par is ki aejaazat hai lekin is shart ke saath ke is ke lawaazemaat wa asbaab haraam na hon
masalan agar naa'mahram negaah wa lams-o-mas kare ya istimna (استمنا) ke zariae mani, mard ke jarsume (sperm) aur aurat ke baiyze (بیضے) "ovum ~ egg" nikaale jaaen ... to jaa'aez nahi hai haraam hai
(is amal ko omuman ajnabi mard ya aurat sar'anjaam dete hain jo shar'an jaa'aez nahi hai is liae ous se ijtenaab laazemi hai)
albatta agar kisi doctor se test tube baby ka tariqa-e-kaar maalum kar ke shauhar apna maad'da-e-manwiyah khud ya biwi apne shauhar ka maad'da-e-manwiyah apne rahim me daakhil kare aur ous me kisi naa'mahram ka bilkul amal dakhal na ho to jaa'aez hai
Lekin shadid zarurat aur majburi ki wajah se ye kaam kiya Jaa sakta hai masalan naa'mahram ke negaah karne, lams-o-mas aur istimna ... Par hi aelaaj mauquf ho isi par inhesaar ho to jaa'aez hai
Note:
agar shaadi shudah hain to istimna, miya wa biwi ke zariae ho ye istimna jaa'aez hai haraam nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔3 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
No comments:
Comment