Sawaal az : mohtaram janaab tanwir ali sb / +919..........32
Cancer ka Ilaaj
Imam Raza As ne Farmaya
ZATOON Ka Oil Le 100 gm ( market mein Extra Virgin oil milta hai le
Haldi Powder 25 gm
In dono ko aapas mein mila kr pakaye
Or jb Pak Jaye To
11-11 Martba awwal wa aakhir darood padhe
Or 41 time Surah Mariyam
Us cheez pr dam kr de
Tarika :-
10-10 Katre us bani hui cheez ke le or pani mein mila kr
Mareez ko khilaye
Inshallah 3 month mein cancer bilkul khtam ho jayga
Is Nuskhe ko
AYATULLAH UZMA SYED ZULFIQAR HUSSAINI NESHAPURI ne bhi bataaya hai
Allah ke kalaam mein bohot taqat hai
Msg ko zada se zada forward kre taaki sabhi istefada utha ske
🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Janab upar wale messages ki tasdeeq hogi kya?
Jawaab:-
باسمه تعالى
سلام عليكم و رحمةالله
سلام عليكم و رحمةالله
Haqir ne ketaab " mafaatihus'seha fi tib'bin nabi wal A'aim'ma " (صلوات الله عليهم) dekhi is me ye nuskha nahi likha hai our imam-e- Reza (عليه السلام) se mansub ketaab " Al resaalatuz'zahabiya al maaruf ba tib'bul imamir'reza (الرسالة الذهبيه المعروف به طب الامام الرضا (عليه السلام) " ke baaz his'se dekhe is me bhi nahi mila
albat'ta aek hadis ka mafhum molaaheza farmaaen :
IMAM-E-reza (علیه السلام) se manqul hai ke aap ne farmaaya
Meri aek dokhtar ya kaniz ki gardan me khanaazir (خنازیر) ho gaya tha koiy mere Paas aaya our kaha ya Ali (imam-e-reza) (علیه السلام) is dokhtar ya kaniz se kahiye ke ye zikr kahe
یا رَٶفُ یا رَحیمُ یا ربَّ یا سَیَّدی
Ya raoufo ya rahimo ya rab'be ya sayeyedi "our baar baar kahe"
Imam (علیه السلام) farmaate hain is zikr ko kaha to khoda ne bimaari ko ous se dur kar diya
Phir imam-e-reza (علیه السلام) ne kaha ye duaa vahi hai jis ko jaafar bin solaymaan ne ki thi (padhi thi)
osule kaafi jild 2 p 561 ketaabud'doaa
imam-e- Reza (عليه السلام) ke kalaam se samajh me Aata hai ke shaayad jaafar bin solaymaan ko bhi " khanaazir " tha ye doaa padhi to khoda ne shefa di
sawaal me jin Aayatullah ke nuskha dene ka zikr hai in ke baare me haqir ko maalumaat nahi hain
revaayati dava (Traditional medicine) our islaami tib (islamic medicinr) me jo shakhsiyaat Iran me maaruf hain oun me in ka naam nahi suna hai
Note:-
(1) khanaazir (خنازير) ke baare me revaayati dava wa islaami tib ke baaz maaherin ka kahna hai ke ye aek tarah ka cancer hai. zaaheran khaal ke cancer ko khte hain
(2) imam-e- Reza (عليه السلام) se jis ne kaha ke dokhtar ya kaniz ye doaa " ya raouf... " padhe is ki tafsir me baaz ne likha hai ke haalate nind me kisi ne imam (عليه السلام) se kaha
imam nind me kisi chiz ko dekhen ya bedaari me farq nahi hai
(is doaa ko har tarah ki mushkil , sakhti our gham o andoh ... ke liye bhi padh sakte hain namaaz ke qonut me bhi padhna behtar hai)
(3) ketaab " Al resaalatuz'zahabiya al maaruf ba tib'bul imamir'reza " (عليه السلام) bht mohim our ilmi ketaab hai imam-e- Reza (عليه السلام) ne ye ketaab Abbaasi khalifa maamun ki darkhast par likhi thi
arabi me " zahab "ka matlab sona hai is ketaab ko " zahabiya " is liye kahte hain ke maamun ke hukm ke motaabiq darbaarion ne ye ketaab sone ke paani se likhwaaiy
(4) yaqinan Aayaat wa revaayaat me dava ke baare me jo bataaya gaya hai ous se inkaar nahi kiya jaasakta. lekin koun ravaayat motabar hai our koun motabar nahi hai ya folaan bimaari wa bimaar ke liye koun dava monaasib hai is ko har aek nahi samajh sakta
baaz jaahil laa'aelaaj bimaari ke liye Qur'aani wa revaaei nuskha bata kar logon ke imaan wa aqide ko kamzor kar rahe hain our islaam ko badnaam kar rahe hain
ye kaam tib'be islami , tib'be shia , tib'be maasumin ... ke naam par ho raha hai
baaz nuskhon ka rabt na Qur'aan se hai our na hi revaayaat se , balke khorafaat hain lehaza aise hakim se hoshiyar rahen
Is Waqt "nim hakim khatrae Jaan nim mulla khatrae Imaan"
(نیم حکیم خطره جان نیم ملا خطره ایمان) ki jagah" naadaan wa jaahil hakim khatrae Jaan" "naadaan wa jaahil mulla khatrae Imaan" kahna zeyaadah monaasib hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
edara-e- darul etrat azim Aabad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 /رجب / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
edara-e- darul etrat azim Aabad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 /رجب / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment