Sawaal az : ...
Salam Agha. Mai, Patna ka rehne wala hu. Hamare mohalle mein har saal mahe aza mein kuch majlisein aisi hoti hain jinme khawateen mic ka istemaal karti hain. Sozo salam, taqreer, girya aur nauhe ki awaz sab traf tak jaati hai. Hamare mohalle mein Hindu aur Ahle sunnat beradraan bhi rehte hain.
Kya mic par aurto ki mjlis karwana shar'an jayez hai ?
Aapse guzarish hai ki is sawal ko agar shaya kiya jayega to mera number aur naam na shaya karein
Wasslm.
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aazim Aabaad / Patna me dars ke baad baaraha ye sawaal khaaharaan wa beraadaraane geraami ki taraf se huaa hai aur haqir ne jawaab bhi diya hai. momenin ye sawaal bahot karte hain is se maalum hota hai ke momenin ketne ghairat daar (غیرت دار) hain
Jawaab :
agar naa'mahram ki tawajjoh aur jinsi haiy'jaan (ہیجان) ka sabab bane ya manfi asaraat morat'tab ho rahe hon ya koi dusra mafseda (مفسدہ) hai to majlisen karwaana wa padhna dono haraam hain, shar'an jaa'aez nahi hai
agar aiysa nahi hai to haraam nahi hai lekin shaa'ista (شائستہ) wa behtar bhi nahi hai ke auraton ki azaadaari, giryao zaari, soz, salaam, nauhe aur taqrir waghaiyrah ki aawaaz naa'mahram mard sunen
Surahe ahzaab aayat 32 me hai :
"... narm lehje me baaten na karna (is liae ke) jis ke dil me bimaari hai wo laalach (لالچ) me na pad jaa'ae, maamul ke motaabiq baaten kiya karo"
momenin se puchhta hun aaya mike par nauha, maatam, soz, salaam aur taqrir ki aawaaz maamul ke motaabiq hoti hai ?
aawaaz numaayan, narmo naazuk aur pur kashish ho jaati hai
jin ke dil mariz wa bimaar hain kahte hain aawaaz bahot ach'chhi, peyaari ... hai, aao sunen ye folaan ki beti ya bahen ya biwi ... padh rahi hain ...
Note :
Jawaab me mafseda se moraad ye hai :
gunaah me padne ka khauf ho ya fikren aaluda hon ya fikro zehan shahwat raani ki taraf jaa'ae
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
27 /صفر / 1440ھ.ق
No comments:
Comment