Sawaal az:- mohtaram janaab abbaas sb /gopaalpur
Ek sawaal to ye hai ki...agar janaabe zainab (sta) ne mjlis ki buniyaad rakhi thi to us se pehle kisi imaam ki mjlis nahi Hui Kya?.
Hazrat Ali (a.s) aur imaam Hasan (a.s) ki majalis nahi Hui thi Kya?
Jawaab:-
باسمه تعالى
سلام عليكم و رحمةالله
سلام عليكم و رحمةالله
dunya ki takhliq ke pahle imaam hussain (عليه السلام) ki azaadaari wa majlis huei , motabar rewaayaat ke motaabiq lauhe mahfuz (لوح محفوظ) par jo jumla likha gaya wo ye tha :
ان الحسين يقتل عطشانا
hussain peyaase shahid kiye jaaen ge
hussain peyaase shahid kiye jaaen ge
is rawaayat ke motaabiq sab se pahle jis ne imaam hussain (عليه السلام) ki majlis padhi khud khoda hai
aek dusri motabar rewaayat jo tafsili hai ous me hai ke :
jab janaabe aadam ko panjtan ke mobaarak naamon ki taalim di gai to imaame hussain (عليه السلام) ka naam sun kar janaabe aadam ki aankhon se ashk jaari ho gae our qalb ghamgin ho gaya , janabe jibraeil se kaha jab paanch'wen ka naam leta hun to dil ranjida ho jaata hai our Aansu jaari ho jaate hain , aiysa keyon hai ? to janaabe jibraeil ne kaha ye aap ke farzand hain in par aiysi mosibat padegi ke ous ke moqaabil tamaam mosibaten chhoti ho jaaen gi , janaabe Aadam ne puchha kaysi mosibat ?
to janaabe jibraeil ne kaha hussain (عليه اسلام) ko ghurbat me peyaasa our tanha ... shahid kiya jaae ga ... , bach'chon ... ko asir kiya jaae ga ....
is ke baad janaabe aadam wa jibraeil ne is tarah girya kiya jaiyse aek maan apne jawaan farzand ki maut par roti hai
(behaarul anwaar jild 44 p 243)
yahaan tak ke rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ka zamaana aaya imaam hussain (عليه السلام) ki welaadat hui , aap ki aaghosh me diye gae to aap ne girya kiya our imaam ki khabare shahaadat di
welaadat ke baad ye pahli majlis thi , jis ko khud rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ne padhi
aek din sabko masjid me aane ke liye kaha , jab sab aa'gae to rasule akram ne farmaaya :
jibraeil ne khabar di hai ke mera farzand hussain shat'te foraat ke kenaare shahid kiya jaae ga ,
masjid me sab log rone lage to aap ne farmaaya :
... تبكون ولا تنصرونه ...
" ... ro rahe ho lekin husain ki madad nahi karoge ... "
" ... ro rahe ho lekin husain ki madad nahi karoge ... "
masjid me imaame hussain (عليه السلام) ki ye pahli majlis thi
in rewaayaat se waazeh wa raushan hai ke sab se pahle jis ne majlis ki bunyaad rakhi our padhi wo khoda , janaabe aadam wa jibraeil our rasule geraami (صلى الله عليه وآله) hain
ye jo kaha jaata hai ke janaabe zainab (سلام الله عليها) ne majlis ki bunyaad rakhi , is se moraad ye hai ke imaam (عليه السلام) ki shahaadat ke baad pahli majlis janaabe zainab (سلام الله عليها) wa ahle haram ne ous waqt ki jab zuljanaah aaya phir dusri majlis 11 moharram ko ous waqt huei jab paak shahidon ke laashon ke paas se guzar huwa
phir kufe me janaabe zainab wa ... ne taqrir ki to gharon se girya-o-zaari ki aawaazen aane lagin ...
ba taure rasmi chand roz majlis rehaaei ke baad shaam me huei , phir ye silsila jaari raha
Note:-
hazrat ali wa imaam hasan (عليهم السلام) ki khabare shahaadat rasule khoda (صلى الله عليه وآله) de chuke the lehaaza in ki majlis bhi pahle rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ne ki phir janaabe zainab , aum'me kulsum ... (سلام الله عليهم) ne ki
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
28 / صفر / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
28 / صفر / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment