Kya imam hassan as ki aulaad se nasl aaj baki hai? Kis farzand se? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, October 25, 2018

Kya imam hassan as ki aulaad se nasl aaj baki hai? Kis farzand se?

sawaal az:..........
Salamun alaikum wrb

Kya imam hassan a s ki oulad se nasl aaj baki hai
Kis farzand se

Or hassan e musanna kise kaha gaya hai kya ye imam hassan a s ki oulad hai
Isi rabte se 3 or sawal hai Inshaallah bad me

Mola Aapko salamat rakhe     ilahi Aameen



Jawaab:-


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته



Karbala me janaab-e-qaasim bin hasan aur abdullah bin hasan (عليهم السلام( ki shahaadat ke Baad Baaz log ye kheyaal karte hain ke imaam-e-hasan (عليه السلام) ki nasl khatm ho gayi jabke aisa nahi hai aapke dusre farzand bhi the jinse aapki nasl chali jaise janab-e-zaed (زید) bin hasan aur janab-e-hasan-e-mosanna. inse aapki nasl chali aur ab bhi baaqi hai mokhtalif jagahon par hasani saadaat maujud hain

Hasann-e-mosanna 

Janab-e-hasan-al-maaruf ba Hasan-e-mosanna imam-e-hasan (عليه السلام) ke farzand hain aap karbala me apne chacha ke saath maujud the aur shadid zakhmi hue

Kis tarah aap zindaa rahe??

Is ta'alluq se mowarrekhin ne likha hai ke shohadaa-e-karbala ke darmeyaan aap pade the umar-e-saad ke lashkar waale samjhe ke aap bhi shahid ho gaye hain yaani zinda nahi hain jab aapka sar juda karna chah rahe the to dekhaa Saans (سانس) chal rahi hai. zinda hain umar-e-saad ke lashkar me ek shakhs banaam-e-abi hesaan bin asma bin khaareja fazaari (حسان ابن  اسما ابن خارجہ فزاری) tha ye aap (Hasan-e-mosanna) ki maa ka rishtedaar tha isne sar juda karne se rok diya aur asiron ke hamraah kufe laaya aur apne ghar elaaj karwaaya jab thik ho gaye to madine rawaana kar diya
aap waaqa-e-karbala ke chashamdid shaahid aur raawi hain
Madine me aap rahne lage aur aulaad bhi huei mokhtasar ye ke abdul-malik bin marwaan (amawi khalifa) ke hukm se zahar ke zariye aapko shahid kar diya gaya

Kholafaa-e-bani abbas ka moqaabela karne waalon me aksar Hasan-e-mosanna ki nasl se hain.



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-edara-e-darul itrat
katokhar dist. chapra (saran)

14 /  صفر  1440 ھ.ق
Subscribe my channel

1 comment:

  1. AOA, MASHA ALLAH bht achi baat hay ,Bhi mazeed behtri k liye koi hawala book refrence bhi diya krn , ap ne sirf batain hi ki hain ksi kitab ka hawala nhi diya .

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen