Sawaal az : ....
Salam janab
Agar me hazrat abbas a.s se direct dua maangu to kya woh shirk kahlaayega ?
Ya phir allah se hazrat abbas a.s ka waasta de ke bhi maang sakte hai ?
Please mujhe samajhawo
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Doa maangne ki 2 surat wa tariqe hain :
- Maasumin ya Janaabe Abbas (صلوات الله عليهم) ke wasile wa zariae se maangen
- Baraahe raast (direct) maangen, masalan kahen "ya Hazrate Abbas meri folaan haajat puri ho jaa'ae ..."
in se direct keyon maangte hain ? is liae ke maalum hai ye Baabul Hawaa'aej (باب الحوائج) hain, Khoda ke nazdik in ka azim maqaam wa martaba hai, Khoda ne in ko azim qudrat wa taaqat ata ki hai jis ki wajah se ye logon ki haajaten puri karte hain ..., ye qudrate khoda ke mazhar hain
waasete se maangen ya direct dono surat me doa qabul karne waala ya haajat puri karne waala Khoda hi hai
lehaaza waasete se maangen ya direct dono tariqa sahi hai, shirk nahi hai
agar makh'luqe khoda se haajat talab karna ya madad talab karna ... shirk hai to dunya me koei mowaah'hid (موحد) nahi hai, sab mushrik hain
dunya me ye tariqa raa'aej hai ke Khoda ka naam liae be'ghair haajat talab karte hain yaa madad chaahate hain
Chand misaalen molaaheza farmaa'aen :
- Bimaar aelaaj ke liae doctor se madad leta hai aur kahta hai doctor sb ach'chha kar dijiae
- Darya yaa taalaab me dubne waala, bachne ke liae kisi ko pukaarta hai
- Mazlum court me qaazi se insaaf ke liae kahta hai
- Saamaan chori ho jaa'ae to police se madad lete hain taake saamaan mil jaa'ae
- Hotel me kaam karne waalon se khaana maangte hain ...
ye log direct makhluqe khoda se madad talab karte hain, Khoda se nahi kahte. aaya ye sab mushrik hain ? yaqinan aisa nahi hai
ya qur'aan me hai Janaabe Sulaiymaan ne makhluqe khoda se takh'te bilqis laane ke liae kaha, Khoda se nahi kaha. ma'aaz allah (معاذ الله) Janaabe Sulaiymaan Nabi mushrik ho ga'ae ?
Aasif Bin Barkheya ke paas ketaab ka mokhtasar ilm tha to chashm zadan (چشم زدن) me takh'te bilqis le aa'ae
ketaab ka mokhtasar ilm hone ki wajah se oun me aetni qudrat aa ga'ei to Janaabe Abbas jin ke paas ketaabe khoda ka kaamil ilm hai haajat bhi puri nahi kar sakte ?
ya pahle wa dusre khalifa ne har mushkil ke waqt Ali (عليه السلام) ko pukaara, makh'susan qazaawat ke waqt madad talab ki. hatta mokhtalif jag'hon par kaha "agar Ali na hote to oumar halaak ho jaate"
oun logon ne direct Khoda se keyon madad talab nahi ki ?
Hazrat Ali (عليه السلام) se madad talab keyon ki ?
mai Wahaabiyon ... se puchhta hun keya wo mushrik hain ?
Jawaab ka khulaasa :
waaseta wa be'ghair waaseta Maasumin wa Janaabe Abbas (صلوات الله عليهم) se doa maang sakte hain aur madad bhi talab kar sakte hain ..., ye shirk nahi hai is liae ke donon surat me asl Khoda hi hai sab kuchh ousi ke izn se hai
Khoda ne qur'aan me nahi kaha hai ke direct sirf mujh se hi maango
Janaabe Eisa se bhi log kahte the "aey Eisa Masih murde ko zinda kar dijiae ya mariz ko ach'chha kar dijiae ... " keya wo log mushrik the ?
jis tarah suraj ki tawaanaaei aur nur mustaqil nahi hai balke Khoda ki jaanib se hai ousi tarah Ahlebait min jumla Hazrate Abbaas (سلام الله عليهم) ki qudrat wa taaqat aur haajat puri karna mustaqil nahi hai
is aqide ke saath aap hazaraat se haajat maangna shirk kaiyse ho sakta hai ? koei hamen bataa'ae
haqiqi shia aap ko mustaqil samajh kar haajat nahi maangta hai lehaaza mushrik kaiyse hoga ? is ko bhi koei mujhe bataa'ae
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Gulzar baagh waqf house estate / Aazim Aabaad / patna
29 / محرم الحرام / 1440ھ
Recommended