1 lakh 24 hazar nabi aaye hai ..unki hadees chahiye (shia) please ye hadees chahiye - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, October 17, 2018

1 lakh 24 hazar nabi aaye hai ..unki hadees chahiye (shia) please ye hadees chahiye

1 lakh 24 hazar nabi aaye hai ..unki hadees chahiye shia please ye hadees chahiye

*Jawaab:*

                           باسمه تعالى

                           سلام عليكم

Msh'hur qaul ke motaabiq ambiya ki taadaad 124 hazaar hai. is ta'alluq se hadis bht hain , sirf 2 hadis ka zikr kiya jaa raha hai :

*1)* aek mash'hur hadis imaam-e- reza (عليه السلام) se naql hui hai jis me rasule akram (صلى الله عليه و آله) ne farmaaya :

" khoda ne 124 hazaar paiyghmbar paiyda kiye. oun me se khoda ke nazdik me bht *Geraami qadr* hun , is ke baa'vojud me fakhr o mobaahaat nahi karta hun , ye khoda ke lutf se hai our khoda ne 124 hazaar vasi paiyda kiye , oun me se khoda ke nazdik ali (عليه السلام) bht *Geraami qadr* hain

( bahaarul anwaar jild 11- p 30 / hadis 21 )

*2) monaasib hai maahe moharram me is hadis ka zikr kar dun :*

imaam-e- sajjad (عليه السلام) ne farmaaya :

*jo bhi chaahta hai ke 124 hazaar paiygambar ous se mosaafeha karen to nisf shaabaan (15 shaabaan) me imaam-e- husain (عليه السلام) ki zeyaarat kare , is liye ke ambiya ki ruhen imaam-e- husain (عليه السلام) ki zeyaarat ke liye khoda se aejaazat leti hain our in ko aejaazat di jaati hai oun me 5 oulul azm (اولو العزم) hain*

( bahaarul anwaar jild 11 - p 58 / kaameluz'zeyaaraat )

*Note :*

is baat ki taraf tavaj'joh zaruri hai ke hamaari hedaayat wa sa'aadat ke liye jin chizon ki zarurat thi Qur'aan karim our sun'nate maasumin (صلوات الله عليهم) ke zariye bayaan kar di gai hain , lehaaza ambiya ki taadaat ka jaanna hedaayat wa sa'aadat me  bht taasir guzaar nahi hai

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
(Lucknow- nurbaadi)

22 / محرم الحرام /  1440ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen