Sawaal az : mohtaram Janaab Taabish sb
Salamun alaikum wrwb
Mera sawaal hai
- Hussain (a.s) ki kitni Shaadi hui thi aur unki kitni aulaad thi sab mila ke ?
- Aur Maulaa-e-kaainaat imaam Ali (a.s) ki kitni Shaadi hui thi ?
- Fatema (s.w.a)
- ummul baneen
- laila
- shahar baano
- umm-e-ishaq
- laila
- rubaab
- qudaiyah
- Agar imam hussain as ki 5 Shaadi sahi hai to Phir yahaa ek sawaal aur ban Jaata Hai ki islaam me to Sirf 4 Shaadi hi jaaez hai Phir 5 kaise ?
Note:
mujhe social site se shajra mila jisme imaam Ali (a.s) ki 3 shaadiyo ka zikr hai :
imaam hussain as ki 5 Shaadi ka zikr hai :
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
- Mash'hur qaul aur motabar ketaabon ke motaabiq 5 shaadiyaan ki'n biwi'yon ke naam ye hain :
- Mash'huro maaruf qaul ke motaabiq Imaame Ali (عليه السلام) ki 9 shaadiyan thi'n. biwi'yon ke naam ye hain :
- Hazrat Abu Baseer se rewaayat hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
Janaabe Sha'har Baano, Janaabe Laiyla (ليلی), Janaabe Robaab, Janaabe Oumme Is'haaq, paanchwi'n biwi ka naam nahi milta hai oun ke baare me likha hai ke Imaam (عليه السلام) ki zindagi hi me inteqaal farma chuki thi'n. aap Qabila'ae Qozaa'eiya (قضاعیہ) se thi'n isi liae baaz mowar'rekhin ne aap ka naam Qoza'aah (قضاعہ) likh diya hai
ek aur biwi hain oun ke naam ka bhi zikr nahi hai
oun ke baare me ye likha hai ke aap haamela thi'n Imaam Husain (عليه السلام) ki sha'haadat ke baad asir hu'ein. dauraane aesaarat bach'cha saaqit ho gaya naam Mohsin tha. aaj bhi ye jagah Mash'hadus'siqt (مشهد السقط) ke naam se mash'hur hai. ye Siriya me waaqe shahar "Halab" ke nazdik hai aur zeyaarat gaah bhi hai
Haml zaa'ae hone ki aek wajah, khaana aur paani ka naa milna
Waaqe'ah kuchh is tarah hai :
"Jaushan" Halab ke maghrib me aek pahaad ka naam hai, wahin shion ki qabren aur zeyaarat'gaah hai, isi se mulhaqah (mila huaa) maadan bhi hai jahan se surkh taanbah nikaala jaata tha, Imaam Husain (علیه السلام) ki haamelah biwi ne wahan ke kaarigaron se roti aur paani maanga lekin roti aur paani nahi diya balke aap ko dushnaam diya aur bad'kalaami ki to aap ne oun ke liae bad'doa ki, ous waqt se jis ne bhi ous maadan me kaam kiya ous ke liae koei faa'aedah nahi huaa ...
(Mojamul Buldaan - jild 2 - safha 186 wa 284 - taalif Yaaqut Hamawi)
Aulaad :
mash'hur qaul ke motaabiq 6 thi'n
Imaame Sajjad (عليه السلام), Janaabe Ali Akbar, Janaabe Ali Asghar, Janaabe Jaafar, Janaabe Sakina, Janaabe Faatema
lekin baaz taarikhi ketaabon me 7 aur baaz me 10 likha hai. oun ke naam ye hain :
Mohammad, (baaz ketaabon ke motaabiq aap Karbala me sha'hid ho ga'ae) Zainab, Roqaiy'ya (رقیہ), Mohsin (jo saaqit ho ga'ae)
Janaabe Faatema (سلام الله عليها), Khaula (خولہ), Oumme Habib, (aap ko Sahba "صهبا" bhi kahte hain) Oummul Banin, Laiyla, Oumme Saad ya Oumme Sa'eid, Mokh'baat ya Mohaiy'yaat (مخباة یا محياة), Asma binte Omais, O'maamah (امامہ)
waazeh rahe ke O'maamah ke ta'alluq se kaafi aekhtelaafaat paa'ae jaate hain
"حَرَّمَ اللهُ النِّسَاءَ عَلَى عَلِیٍّ عليه السلام مَادَامَت فَاطِمَةُ عليها السلام حَيَّةََ ..."
"jab tak Hazrat Faatemah (سلام الله عليها) zindah thi'n Hazrat Ali (عليه السلام) par dusri aurat ko khoda ne haraam kiya tha..."
(tahzibul ahkaam jid 7 p 475 h 1908 ketaabun nekaah baab 41)
lehaaza aap ki hayaat me Imaam (عليه السلام) par dusri shaadi karna haraam thi
dono Imaamon (صلوات الله عليهم) ki biwi'yaan ek hi waqt me 4 se zeyaadah nahi thi'n is liae ke ek hi waqt me 4 se zeyaadah ki aejaazat nahi thi. lehaaza ek ke inteqaal ke baad dusri shaadi ki
sirf Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ko aek waqt me 4 se zeyaadah shaadi karne ki aejaazat thi
Note :
- dono Imaamon (صلوات الله عليهم) ki biwi'yon aur aulaad ke ta'alluq se aekhtelaaf hai. yaqini (100%) nahi kahaa jaa sakta hai ke ketni biwi'yaan wa aulaad thin
- har shaadi ke mokhtalif asbaab aur wajahen hain ; masalan sarparasti, karbala ke liae bahaadur bete ki khaa'hish waghairah.
ye ek tafsili bahas hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat katokhar dist.chapra (saran)
9 / صفر / 1440 ھ.ق