Sawaal az : ......
SLAMUN ALAIKUM QIBLA
Qibla Roza Eid-E-Ghadeer Ki Timing bataaiye kis time se kis time tak Bahut shukriya
Qibla Mera Matlab hai full day ka hi hota hai Eid-E-Ghadeer ka Roza ?
Jawaab :
باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة اللہ و برکاته
jo waqt waajib roza ka hai wahi waqt Eid-e-ghadir ke roza ka hai, yaani azaan-e-subh ke shar'ei waqt se le kar maghrib tak
Note :
- Roz-e-ghadir (18 ذی الحجہ) ka roza mustahab hai, lehaaza zaruri nahi hai ke aakhir waqt (maghrib) tak rakhen, balke agar beraadar-e-momin khaane par daawat kare to mustahab hai ous ki daawat ko qabul karen. din ke darmeyaan kisi waqt bhi ye roza tod sakte hain, agar'che baad az zohr hi keyon na ho
- agar maah-e-ramazaan ka roza qaza hai to roz-e-ghadir, maah-e-ramazaan ke qaza roza ki niyat se rakhen, is tarah aek roza ki qaza par amal ho jaa'ae ga aur ghadir ke roza ka bhi sawaab mil jaa'ae ga, albatta is surat me zohr ke pahle roza tod sakte hain lekin zohr ke baad nahi tod sakte hain
اَلحَمدُ للهِ اَلَّذِی جَعَلَ کَمَالَ دِینِهِ وَ تَمَامَ نِعمَتِهِ بِوِلَایَةِ اَمِیرِالمومِنین علی ابنِ ابی طالب علیه السلام
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
17 / ذی الحجہ / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment