zanjir | qama zani ka khun laga ho to keya alam | taaziya autha sakte hain | masjid | imaambaade me jaa sakte hain? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, September 24, 2018

zanjir | qama zani ka khun laga ho to keya alam | taaziya autha sakte hain | masjid | imaambaade me jaa sakte hain?

sawaal az:......

AssalamuAlaikum Maulana Sahab Ummid Karta Hoon Ki Aap Khairiyat Se Honge Allah Aapko Salamat Rakkhe

Janab Mera Ye Sawaal Hain Ki Kya Qama Zanjeer Karne K Baad Jo Khoon Nikalta Hain Usi Khoon Ki Haalat Me Alam Taazeya Utha Sakte Hain Aor Masjeed Imambaargah Me Jaa Sakte Hain Jo Ki Khoon Najeesh Hain 

Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاتہ
الحمد اللہ
شکریہ


(1) Agar Alam wa taziyah (تعزیہ) par allah wa masumin (صلوات الله علیهم) ke naam likhe hain , oun par khun na lage aur be aehteraami na ho to outha sakte hain

(2) agar masjid me khun na lage aur  imaambaade ki be aehteraami na ho to jaa sakte hain


والسلام
Syed shamshad ali katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran

13 / محرم / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen