kya hum karbala se laya hua kafan ghar par rakh sakhte hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, September 13, 2018

kya hum karbala se laya hua kafan ghar par rakh sakhte hai?

Salaamunalaikum Maulana
 Umeed hai sab khairiyat se hai
 Allah aapko khush rakhe Mera sawaal tha kya hum karbala se laya hua kafan ghar par rakh sakhte hai?
 Please jawab dedijiye
 Jazakallah

*Jawaab :*

                           باسمه تعالى
       
          عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
                         
                           الحمد لله

Rewaayaat me hai ke kafan kharidna mustahab wa pasandida kaam hai , our apni zindagi me kabhi kabhi is ki taraf dekhe is me bhi sawaab hai

*imaame saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :*

jo bhi apna kafan apne ghar me rakhe ous ka naam ghaafelin ( ghaflat karne waalon ) me nahi likha jaae ga our jab bhi is ki taraf dekhe sawaab wa paadaash hai

rewaayaat me ye bhi hai ke maasumin (صلوات الله عليهم) apna kafan shahaadat ke pahle hi se aamaada rakh te the

*lehaaza kafan rakhna our ous ki taraf dekhna dono sirate maasumin (صلوات الله عليهم) hai*

*rakhne our dekhne ka aek mohim maqsad ye hai ke insaan apne anjaam wa maut ko yaad kare ke aek din mujhe isi me lapeta jaae ga our baargaahe aelahi me pesh kiya jaae ga*

*hukme shar'ei :*

agar kafan rakhe aek saal guzar gaya to is par aek martaba khums waajib hai

( tafsil tauzihul'masaael khums ki bahas dekh len )

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

29 / ذى الحجه / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen