kisi ghair Muslim ki isaale sawab ki Majlis munaqqid kr sakte h?? Islam k aitbaar se aisa krna kaisa h? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, September 3, 2018

kisi ghair Muslim ki isaale sawab ki Majlis munaqqid kr sakte h?? Islam k aitbaar se aisa krna kaisa h?

Salaam alaikum

 Mera sawal ye h k kya Shia hazraat kisi ghair Muslim(Hindu) ki isaale sawab ki Majlis munaqqid kr sakte h?? Islam k aitbaar se aisa krna kaisa h?

*Jawaab :*

                           باسمہ تعالی

          علیکم السلام و رحمة الله و برکاته

*Mokhtasar jawaab :*

kaafir wa mushrik ke liye is ka koiy faaeda nahi hai , ye kaam be kaar wa be huda hai our shar'an jaaez nahi hai

*qadr-e- tafsili jawaab :*

behtar hai aap ke sawaal ka jawaab chand aayaton ke zariye diya jaae :

*surah-e- tauba 84 me hai :*

" our oun me se jo koiy mar jaae ous par aap kabhi bhi namaaz na padhen our na hi ( doa wa talab-e- maghferat ke liye ) ous ki qabr par khade hon , oun ho ne allah our ous ke rasul ke saath kufr kiya hai our wo naa farmaani ki haalat me mare hain "

is aayat me rasul-e- khoda ( صلی الله علیہ وآلہ ) ko 2 kaamon se mana kiya gaya hai , jo nefaaq wa kufr ki haalat me mare ous par namaaz padhne our maghferat ki doa karne se mana kiya gaya hai , is liye ke marne ke baad in ki hedaayat ka raasta band ho gaya hai , agar talab-e- maghferat wa rahmat ki jaae our in par namaaz padhi jaae to ye kaam be natija wa be huda hai

is aayat se istidlaal kiya jaa sakta hai ke jab monaafiq wa kaafir par namaaz nahi padh sakte hain our talab-e- maghferat bhi nahi kar sakte hain to in ke liye eisaal-e- sawaab ki majlis our qur'aan khaani ka aehtemaam bhi nahi kar sakte hain , is ka bhi koiy faaeda nahi hai

*isi surah aayat 80 me hai :*

" ( ay rasul ) aap aiyse logon ke liye maghferat ki doa karen ya doa na karen ( mosaavi hai ) agar 70 baar bhi aap oun ke liye maghferat talab karen to bhi allah ounhe hargiz moaf nahi kare ga , is liye ke ounho ne allah our is ke rasul ke saath kufr kiya hai our allah faaseqin ko hedayat nahi deta hai "

rasul-e- khoda ( صلی الله علیہ وآلہ ) ko mokhaatab kar ke is aayat me kaha gaya agar 70 baar bhi oun ke liye maghferat ki doa karen to khoda ounhe hargiz moaf nahi kare ga , is aayat se bhi saabit hota hai ke in ke liye eisaal-e- sawaal ki majlis wa qur'aan khaani ka koiy faaeda nahi hai

*our aayat 113 me hai :*

" nabi our imaan waalon ko ye haq nahi pahunchta ke wo mushrekon ke liye maghferat talab karen , khaah wo oun ke qaribi rishte'daar hi keyon na hon , jab ke ye baat oun par ayaan ho chuki hai ke wo jahannam waale hain "

is aayat me kaha gaya nabi our imaan waalon ko haq nahi hai ke mushrekon ke liye talab-e- maghferat karen , khaah wo qaribi rishte'daar hi keyon na hon , is aayat se bhi saabit hai ke jab in ke liye talab-e- maghferat ka haq nahi hai to eisaal-e- saawaab ki majlis wa qur'aan khaani ka bhi haq nahi hai , khaah wo qaribi rishte'daar hi keyon na hon ya seyaasi party ke fard hi keyon na hon

jab rasul-e- akram ( صلی الله علیہ وآلہ ) jaiysi azim zaat ko mana kiya gaya hai to dusre kis khet ki muli hain ke kuffaar wa mushrekin ke liye talab-e- rahmat karen our majlis kara kar sawaab ka hadiya pesh karen

rewaayat me hai nasraani ke liye doa karne ka faaeda nahi hai , jab nasraani ( ahl-e- ketaab ) ke liye doa ka faaeda nahi hai to jo kaafir wa mushrik hai ous ke liye badarja-e- aula ( بدرجہ اولی ) doa wa eisaale sawaab ka faaeda nhi hoga

(tafsil ke liye osul-e- kaafi jild 2 p 650 dekh len)

*haan izhaar-e- aqidat ke taur par taqrib our jalse wagairah kar sakte hain , ye baiynul aqwaami ( inter national ) rasm hai lekin iske liye bhi aek shart hai wo ye hai ke agar zaalim ke zulm ki taaeid hoti ho to ye bhi jaaez nahi hai*

*qur'aan khaani ke ta'alluq se arz kardun :*

is ka sawaab bhi hadiya nahi kar sakte hain , albatta agar aulaad musalmaan hain to ye qur'aan padhen is ki barkat se waaledaiyn ke azaab me kami hogi inshaa allah
 qur'aan karim ki telaawat ka ye asar hai

*imame saadiq (عليه السلام) farmaate hain :*

*jo Qur'aan me dekh kar ( mobile vaghayrah se nahi ) Qur'aan padhe to apni Aankhon se bahramand hoga ( binaaei our Aankhon ki oumr me aezaafa hoga ) our is ke vaaledain ke Azaab me kami ki jaaegi Agarche donon kaafir hi keyon na hon*

(osule kaafi jild 2 p 613
(باب قرائة القرآن فى المصحف

agar marne waale kaafir wa mushrik ki aulaad hain our musalmaan hain to ye kaam zarur karen

*Note:*

*1)* masala jaante hue jis ne eisaal-e- sawaab ke liye majlis our qur'aan khaani ka aehtemaam kiya to ous ne haraam kaam wa gunaah kiya lekin ous ko islaam wa shi'aat se khaarij karne our qatl ka fatva saadir karne ka haq aam insaan ko nahi hai

*baaz logon ki shiddat pasandi ne qaum ko kai hisson me taqsim kar diya hai , ye naa qaabile talaafi noqsaan hai , khoda sab ki hedaayat kare*

*2)* baaz khaaharaan wa beraadaraan ne pahle sawaal kiya tha oun se pahle is sawaal ka jawaab dene par maazerat chaahta hun

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

8 / ذى الحجه / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen