Sawaal az : mohtaram Janaab Abbas Jafari Sb
- 9 aur 10 Mohrram me roza rakhna kesa hai... jaaiz hai islam me ?
- mola hussain as ko guslo kafan kisne diya tha... please bataye
Jawaab :
باسمہ تعالی
سلام علیکم و رحمه الله و برکاته
- Makruh hai yaani behtar ye hai ke 9 wa 10 moharram ko roza na rakhen is liae ke Banu Omayya (بنو امیہ) in do dino me barkat ke liae roza rakhte the aur bahot saari rewaayaat in do dino me roza rakhne ki fazilat par jaal (گڑھی) ki hain
- Agar shahid, maidaane jang me shahid huaa to ghusl wa kafan nahi hai (ous ka khun ghusl hai aur lebaas kafan). Imaam Hussain (علیہ السلام) to Saiyedosh Shohada (shahidon ke sarwar) hain
Maasumin (صلوات اللہ علیهم) ki jaanib se be'shumaar rewaayaat aiysi hain jis me 9 moharram makhsusan 10 moharram roza rakhne ki bahot mazammat (مذمت) ki gaei hai.
agar Imaam Hussain (علیہ السلام) wa aap ke Aas'haab (اصحاب) ki shahaadat par ba'ounwaane (بعنوان) shukr, izhaare soruro khushi aur fat'he (فتح) Banu Omayya (بنو امیہ) rakhen to haraam wa bid'Aat (بدعت) hai
Niche diae ga'ae jawaab ko di gaei surkhi par click kar ke padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalat Qum / Iran (Taaragarh)
8 / محرم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment