Sawaal az : +917275....
Salaamun alequm
Janaab mera ek sawaal tha ki mai aksar sunta hu janaabe Ayub a.s ko bohot sakhat imtehaan dena padaa aur ye haqeeqat bhi hai lekin baaz log isme ye bhi jod dete ki wo bohot bimaar hue aur itne bimaar ho gaye ki unke jism me kide pad gaye aur ek kida jab unke jism se gir gaya toh unhone kaha "ki tumhara rizq abhi yahaa baki hai tum kahaan jaate ho" toh mera sawaal yeh tha ki kiya Nabi-e-khuda ke jism me kida pad sakta hai aur agar haa toh iski kisi ketaab ya surah aur aayat se daleel se jawaab den
Wsalaam
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Janaabe Aiy'yub ke sakht imtehaan wa sabr me shak nahi, isi liae sabre Aiy'yub kahaawat ban gaya
lekin afsos aiyse azim nabi ki zindagi ke haalaat bhi jaahilon ya daana dushman ki jaali wa manghadat (من گھڑت) baaton se mahfuz nahi rahi
bakwaas wa behuda baaton ki nisbat aap ki taraf di gaei jab ke ous se aap paako monazzah (منزہ) hain
oun me se aek ye hai ke (ma'aaz allaah) bimaari ke waqt aap ke badan me kide pad ga'ae the ... aur badan se is qadr badbu aane lagi ke qarya (گاؤں) waalon ne aap ko qarya se baahar kar diya (معاذالله)
yaqinan is tarah ki baaten wa rewaayat jaali wa manghadat hain is liae ke Maasum [ambiya wa 14 maasumi... (سلام الله عليهم)] har tarah ke aiyb wa nafrat'angez bimaariyon me mubtala nahi ho sakte hain
jaiyse baras (aek jildi bimaari jiski wajah se khaal seyaah ya safed ho jaati hai aur aek taklif deh khaarish paiyda ho jaati hai), jozaam (kodhi), gunga hona aur zaeiful'aql (bewaquf wa kamzor raa'ae waala hona) waghairah se Maasumin (صلوات الله عليهم) paak wa monazzah hain
Hawaalah :
باب حادى عشر - تاليف علامه حلى - الفصل الخامس فلسفةالرسالة والنبوة
Dalil :
- dalile aqli :
- dalile naqli :
khoda ne Ambiya ko insaanon ki hedaayat ke liae bheja hai, be'sat ka maqsad hedaayat hai, jab log Nabi se bezaari wa nafrat karen aur bhaagne lagen to hedaayat nahi kar sakte, jab hedaayat nahi kar sakte hain to be'sat yaani Nabi ko bhejne ka maqsad be faa'aedah wa bekaar ho jaa'ae ga, lehaaza zaruri hai ke aiysi bimaari na ho jis se log nafrat karte hain aur dur bhaagte hain
aale imraan 159 me Rasule geraami (صلی الله علیه وآله) ke baare me hai (... agar aap tund khu aur sang dil hote to ye log aap ke paas se muntashir ho jaate ...)
is aayat se saabit hota hai ke Nabi ko aiysa nahi hona chaahiae ke log aap se dur bhaagen
zaahir hai agar Nabi ko nafrat dilaane waali bimaari hogi to log faasela aekhteyaar karen ge, lehaaza aiysi bimaari se paak wa monazzah hona zaruri hai
Surah'ae Ahzaab 21 me hai (tumhaare liae Allah ke Rasul me behtarin namuna hai ...)
ye aayat bhi Rasule Akram (صلی الله علیه وآله) ke baare me hai, lekin behtarin namuna ke peshe nazar har nabi moraad ho sakte hain, is liae ke har Nabi apne zamaane waalon ke liae behtarin namuna the
agar nabi se log bhaagne lagen to aiysa Nabi namuna aur ideal nahi ban sakta hai, lehaaza har ous aiyb wa bimaari se paak wa monazzah hona zaruri hai jis se log nafrat karte hain ya dur bhaagte hain
Note :
sawaal ka rabt ismate ambiyaa se hai, ye tafsili bahas hai, haqir ne faqat ba'taure aekhtesaar wa aeshaara jawaab diya hai
Niche recommend kiae ga'ae article ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
15 / ذیقعده / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment