Sawaal az : khaahare geraami / Rae bareli
Salaam alaikum
Mera sawal ye hai ke agar koi shaqs wazu kar chuka hai aur uske baad ghusl kiya to kya namaaz ke liye phir se wuzu karna padega ? jab ke wuzu abhi baqi hai aur ghusl bhi wajib nahi tha
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
2 marja ki nazar ke motaabiq molaaheza farmaa'aen :
- Rahbare Inqelaab Khaamenaei :
- Aayatullah Sistaani :
sirf ghusle janaabat ke saath namaaz padh sakte hain
dusre ghusl waajib hon ya mustahab, namaaz ke liae kaafi nahi hain balke wozu bhi zaruri hai
ghair az istehaaza'ae motawasseta tamaam waajib ghusl (jaiyse haiz, janaabat aur mas'se maiy'yit ...) aur ghusle mustahab (jis ka mustahab hona saabit hai) ke saath namaaz padh sakte hain, wozu zaruri nahi hai lekin aehteyaate mustahab wa behtar ye hai ke ghusle janaabat ke aelaawah dusre ghuslon ke saath wozu bhi karen
Sawaal :
dono maraaje ke nazariae ke peshe nazar wozu, ghusl ke pahle karen ya baad me ?
pahle karen ya baad me sahi hai lekin agar ghusl ke pahle karen to behtar hai
Note :
Aayatullah Sistaani ke nazdik 25 ghsul ka mustahab hona saabit hai jaiyse ghusle jum'aah, eide fitr wa qurbaan ...
(waajib aur mustahab ghusl ki baaqi tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
21 / ذیقعده / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment