aaya aimma w Masumeen as ki wiladat hoti hai ya unka zohur w nazul hota hai? part-1 - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, August 6, 2018

aaya aimma w Masumeen as ki wiladat hoti hai ya unka zohur w nazul hota hai? part-1

Salamunalaikum

Maulana kaise hain aap Ek sawal tha ki aaya aimma w Masumeen as ki wiladat hoti h ya unka zohur w nazul
Ek video b isi silsile se sawal ki shakl me bhej raha hun
Aap inse kitna muttafiq hain ye b batayen aur hamari rahnumai Karen Shukriya w salaam


Jawaab

باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

الحمدلله



chaaval ke chand daane dekh kar puri deg ka andaaza lagaana ahle elm wa aql ke liye kuch bhi mushkil nahi hai

isi tarah video me jo saaheb bol rahe hain oun ke elm wa dalilon ka andaaza ba khubi lagaaya jaa sakta hai


(1)imaamo ka zohur wa nozul hota hai , is par qur'aan se dalil ye di hai ke janaabe eisa baap ke nutfe se paiyda nahi hue balke amre khoda se dunya me aae lehaaza nozul wa zohur huwa

Jawaab

is me shak nahi ke janaabe eisa amr wa hukme khoda se paiyda hue , lekin qur'aan me ye kahin nahi hai ke janaabe maryam ke shekame mobaarak se paiyda nahi hue , qur'aan hi se saabit hai ke shekame maadar se paiyda hue

masalan janaabe eisa ke paiyda hone se pahle dard ka shuru hona (درد زہ) ... our maryam-e- moqaddas par ilzaam lagaana...

agar shekame maadar me nahi the to dard keyon huwa?

agar nutfa nahi tha to janaabe maryam par ilzaam keyon lagaaya gaya?

(surah-e- maryam aayaat 16 - 36 padh len)

janaabe eisa se mota'alliq zohur wa nozul ki baat imaam-e- asr ke waqt-e- zohur se marbut hai , ous waqt aap ka zohur wa nozul hoga

janaabe eisa ki velaadat mojezaana tariqe se zarur huei , lekin is ka matlab hargiz ye nahi ke shekame maadar se paiyda nahi hue


(2) zohur wa nozul par dusri dalil ye di hai ke  imaam jab bhi dunya me aay to aate hi sajda kiya , sajda beghair lebaas ke nahi hosakta lehaaza lebaas ke sath dunya me aae , is se saabit hai ke zohur huwa , welaadat nahi

jawaab

sajda-e- shukr wa mustahabbi sajde me mard ke liye hatta makh'sus maqaam ka poshida hona zaruri nahi hai

yaqinan imaam welaadat ke baad sajda karte the lekin ye sajda-e- shukr ya mustahabbi sajda tha

dusre ye ke inko kaiyse maalum ke sajde ke waqt imaam (عليه السلام) ke jisme mobaarak par kapda nahi tha ?

welaadat ke baad kapda daal diya gaya ho phir sajda kiya ho

khud par imaamon ka qeyaas karna ghalat hai , imaam aam tariqe se paiyda zarur hue , lekin baaz chizen in moqaddas hastiyon se makhsus hain is se inkaar nahi kiya jaa sakta hai
jaiyse ismat , gunaahon se paak hona , jismaani rushd dusron ke rushd ke bar khelaaf , wqte welaadat aaludgi ( khune nefaas) se paak hona , maan ke pet me baat karna , imaame husain (عليه السلام) pet me maan se baaten karte the , our dunya me aate hi aayaat-e- qur'aan ki telaawat wa sajda karna ...




(3)janaab-e- mohsin bibi ke batn me nahi the , aap ki shahaadat bibi ke haathon par hui , isliye ke aap haathon par zaahir hue the , ispar dalil ye hai ke naam dunya me aane ke baad rakha jaata hai jab aap zaahir ho gae to naam rakha gaya ... lehaaza zohur huwa , welaadat nahi

Jawaab

ye bhi ghalat hai isliye ke amirul momenin ali wa dusre maasumin (صلوات الله عليهم ) se rewaayat hai :

jab bach'cha shekame maadar me ho to naam rakh do , agar naam nahi rakha our bach'cha saaqit ho gaya to roze qeyaamat apne baap se shekaayat ke taur par kahe ga mera naam keyon nahi rakha?

rasule khoda(صلى الله عليه و آله) ne janaabe faatema (سلام الله عليها) ke bch'che ka naam mohsin ous waqt rakha jab aap shekam me the ... "


( hil'yatul muttaqin - baab 4 , fasl 8 )

Aal-e- imraan 45 me hai :

" farishton ne maryam se kaha :
ay maryam , allah tumhe apni taraf se aek kalema ki bashaarat deta hai jis ka naam Masih Eisa ibn-e- Maryam hoga ... "

is aayat se bhi saabit hai ke welaadat ke pahle naam rakha jaata hai

is me koiy kalaam nahi hai ke in ki dalilen aiysi hain jaiyse [ maare ghutna , phute aank ] ( مارے گٹھنا پھوٹے آنکھ )
be mahal our be jod ( جوڑ ) dalilen hain

video me is shakhs ne tamaam olama makhsusan olama-e- najaf-e- ashraf our qum al moqaddasa ki tauhin ki hai

is ta'alluq se arz kardun ke jaahil ki 2 qisme hain :


1. jaahil-e- mutlaq ( basit ) :

ye wo jaahil hai jo jaanta hai ke me jaahil hun , yani jaanta hai ke me nahi jaanta hun

ye soe hue insaan ke maanind hai , is ko be daar karne ki zarurat hai , aiysa jaahil raah-e- hedaayat kaa taalib hota hai


2. jaahil-e- morak'kab :

jo nahi jaanta hai ke me nahi jaanta hun

jaahil-e- morak'kab isi liye kahte hain ke 2 jahl se tarkib diya hua hai :
adam-e- elm our tawah'hum-e- elm ( عدم علم اور توہم علم )

ye khatar naak jahl hai , dar haqiqat laa aelaaj bimaari hai , jaahil-e- morak'kab bela dalil mahz qeyaas-e- faaseda se apni baaten saabit karta hai , is tarah ke log allama nahi hain balke ahmaq hain our ahmaq se eijtenaab karne ki zarurat hai , aiyse jaahilon se olama-e- baa amal ki tauhin hi ki tawaq'qo hai




is sawaal se mota'alliq part-2 "CLICK HERE" pe click kar ke padh len 

aek baar phir darkhaast hai ke audio ya video se mota'alliq jis baat ka jawab chahiye , pahle ous ka intekhaab karen phir likh kar ya awaaz ke zariye bhejen

والسلام

23 / ذیقعده / 1439 ھ.ق

subscribe my channel

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen