Salamun alaikum aagha,
Lakadi paak ho sakti hai kya. ?
Jaese takhat pe bachche ne peshab kiya to kaese paak kare.
Muqallid aagha shistani sb.
*Jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
*ji paak ho sakti hai*
aabe qalil se aek martaba dhoen paak ho jaae ga , basharte ke dhone ke baad takht par peshaab na rahe
our agar aabe kur ( jaiyse supply ka paani - urban water plumbing ) se dhona chaahte hain to asl najaasat (peshaab) ko bartaraf karne ke baad 2 martaba dhoen paak ho jaae ga
*Note:*
*baaz khaaharaan ko ماشاءالله tahaarat wa najaasat ki fikr bht rahti hai lekin kahti hain ghar me baaz chizen wa baaz makaanaat aiyse hain ke agar najis ho jaaen to paak karna bht mushkil hai aiysi surat me keya karna chaahiye ?*
*jawaab :*
in ko paak karna waajib nahi hai sirf khaane pine our namaaz se mota'alliq chizon ko paak karna zaruri hai
masalan namaaz me sirf sajde ki jagah (sajdegaah) our lebaas wa badan ka paak hona zaruri hai
lehaaza tavajjoh rahe ke najaasat sajde ki jagah our badan yaa lebaas par asar wa saraayat na kare
*agar ghar ki najis chizen our badan ya lebaas sukha hai to lagne se najaasat saraayat nahi karti hai*
والسلام
syed shamshad ali katokhari
aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
3 / ذيقعده / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
Friday, July 20, 2018
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment