*سلام عليكم سركار، حياكم الله*
Sarkar bahot hi accha kaam kar rahe hai aap, ab tak ka sabse sahi istemal whatsapp ka humne aap k hi zariye dekha jo hum tashna afrad ko sairab kar rahe hai aap. InshaAllah iska aap ko ajre khair milega.
Humare ek chote bhai Saqlain Haider ne sawal kiya hai ki,
kya khutba-e-Juma k dauran wajib/mustahab namaz padh sakte hai?
Aur ye bhi bataiyega ki khudba e Juma k dauran kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.
Shukriya sarkar
*Jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
aap ka bhi bht bht shukriya doaa farmaaen mokhtasar umr me is se behtar khidmat ki taufiq ho , our imkaanaat bhi faraaham hon
*(1)* baaz fiqhi ketaabon our hadis ke motaabiq namaaze jum'aa ki 2 rak'at hone ka sabab 2 khutbe bataae gae hain
*hadis me hai :*
*" ...اِنَّما جُعِلَت رَكعَتَين لِمَكَانِ الخُطبَتَين ... "*
namaaze jum'aa ko 2 rak'at , 2 khutbon ki vajah se qaraar diya gaya hai . dar haqiqat 2 khutbe , 2 rak'at ki jagah hain
aehteyaate waajib ki bena par 2 khutbon ko sunna waajib hai
*lehaaza agar namaaze waajib / mustahab padhne se khutba na sun paae to namaaz padhna jaez nahi hai*
lekin agar dono kaam kar sakte hain , yani namaaz padhen our khutba bhi sunen to namaaz waajib / mustahab padh sakte hain
our agar khutba nahi samajh paarahe hain , masalan kisi aiysi zabaan me khutba diya jaa raha hai jo aap ke samajh me nahi aa rahi hai to is surat me khutba sunna waajib nahi hai . namaaz waajib / mustahab padh sakte hain
*(2)* jo bayaan kiya ous ke motaabiq khutba sunna chaahiye our waaz o nasihat ... ko bhi ghaur se sunna chaahiye
*baat karna makruh hai*
lekin agar baat karne ki vajah se khutba nahi sun paae to aehteyaate waajib ki bena par baat karna jaez nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shobae sawaalaat Qum / iran
29 / شوال / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
Friday, July 20, 2018
kya khutba-e-Juma k dauran wajib/mustahab namaz padh sakte hai? Aur ye bhi bataiyega ki khudba-e-Juma k dauran kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment