kaafir ke saath khaana khaane ka hukm | khaane ki naubat aa jaae to khud ko kaiyse bachaa'aen ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, July 20, 2018

kaafir ke saath khaana khaane ka hukm | khaane ki naubat aa jaae to khud ko kaiyse bachaa'aen ?

Sawaal az:-.......


سلام عليكم ورحمة الله

MashaAllah aap bada hi behtreen jawab dete hai jisse humlog mutmaeen ho jate hai, Allah aap ko Shehat o ilm ata kare.


Mera sawal ye hai ki hum hindustan me rahne ki wajah se hinduo se bhi tallukh rakhna padta hai. Aise me unke khane pine ke program me shirkat karna padta hai, jab k hum hinduo ke yaha khane pine se parhrez karte hai fir bhi logo ke kafi israr par agar khana pad jaye to kya ye khana jaiz hai. Ya puri tariqe se hindu ka khana Haram hai aur inse parhez kiya jaye?


Jawaab:


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

شکریہ ذرہ نوازی ہے

agar in ke haath ya badan ki rotubat (tari) khaane par lag gaei hai to najis hai, nahi khaa sakte hain


agar rotubat nahi lagi hai to paak hai, khaa sakte hain


aur agar shak hai ke aaya rotubat lagi hai ya nahi ? to paak hai, khaa sakte hain. is liae ke jab tak najaasat ka eilm wa yaqin na ho  har chiz paak hai


agar najis hone par yaqin hai to keya karen ?


jawaab :


2 kaam kar sakte hain :


(1) bachne ka koei raasta nikaalen, masalan koei bahaana banaaen ya sirf paak phal ya Biscuits waghaiyrah khaa len ya soft drinks waghairah pi len...


(2) agar na khaane par aziyat de sakte hain aur mushkelaat paiyda kar sakte hain jis ki wajah se zindagi sakht wa dushwaar ho jaae to khaa sakte hain


Note :


agar gosht aur machhli ( مچھلی ) waghirah hai to jab tak saabit na ho jaae ke halaal gosht wa halaal machhli hai aur shar'ei tariqe se zibh kiya gaya hai, nahi khaa sakte hain

والسلام

syed shamshad ali katokhari

khadime edaara-e-darul itrat Azim Aaabad / patna - shobae sawaalaat Qum / iran


21 / شوال / 1439ھ.ق

Subscribe us on youtube
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen