Sawaal az : ...
سلام عليكم سركار، حياكم الله
Sarkar bahot hi accha kaam kar rahe hai aap, ab tak ka sabse sahi istemal whatsapp ka humne aap k hi zariye dekha jo hum tashna afrad ko sairab kar rahe hai aap. InshaAllah iska aap ko ajre khair milega.
Humare ek chhote bhai Saqlain Haider ne sawal kiya hai ki,
kya khutba-e-Juma k dauran wajib / mustahab namaz padh sakte hai ?
Aur ye bhi bataiyega ki khudba-e-Juma k dauran kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.
Shukriya sarkar
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap ka bhi bahot bahot shukriya doaa farmaa'aen mokhtasar umr me is se behtar khidmat ki taufiq ho, aur imkaanaat bhi faraaham hon
- Baaz fiqhi ketaabon aur hadis ke motaabiq namaaze jum'ah ki 2 rak'at hone ka sabab 2 khutbe bataa'ae ga'ae hain
- Jo bayaan kiya ous ke motaabiq khutba sunna chaahiye aur waazo nasihat ... ko bhi ghaur se sunna chaahiae
Hadis me hai :
"...اِنَّما جُعِلَت رَكعَتَين لِمَكَانِ الخُطبَتَين ..."
Namaaze jum'ah ko 2 rak'at, 2 khutbon ki wajah se qaraar diya gaya hai. (dar haqiqat 2 khutbe, 2 rak'at ki jagah hain)
Aehteyaate waajib ki bena par 2 khutbon ko sunna waajib hai
Lehaaza agar namaaze waajib / mustahab padhne se khutba na sun paa'ae to namaaz padhna jaa'aez nahi hai
Lekin agar dono kaam kar sakte hain, yaani namaaz padhen aur khutba bhi sunen to namaaz waajib / mustahab padh sakte hain
Aur agar khutba nahi samajh paa rahe hain, masalan kisi aiysi zabaan me khutba diya jaa raha hai jo aap ke samajh me nahi aa rahi hai to is surat me khutba sunna waajib nahi hai. namaaz waajib / mustahab padh sakte hain
Baat karna makruh hai, lekin agar baat karne ki wajah se khutba nahi sun paa'ae to aehteyaate waajib ki bena par baat karna jaa'aez nahi hai
Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
29 / شوال / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment