Slamun alaikum wrahematullahe wbarkatuh
Jnab Mera swal h ki mere ghr wale ahele sunnat h aur hm shiya ho gye hai Meri walda mere bhai bhen k inteqal ho gya Kya isàle swab k liye mjlis kr skte hai
Aur Quran ya dua wgaira k bkhshne k shi tariqa bta de
Bhot meherbani hogi
*Jawaab :*
باسمه تعالى
علیكم السلام و رحمةالله و بركاته
*(1)* agar naasebi (ناصبى) nahi the our aap ke ghar waalon ya dusre ahl-e- sunnat se aap ke liye koiy khatra na ho to rajaa'an ( رجاءا ) yaani is ummid se ke khoda qabul farmaae ga , eisaale sawaab ke liye majlis kar sakte hain
*imaame saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :*
jo qur'aan se dekh kar ( mobile waghiyrah se nahi ) qur'aan padhe to apni aankhon se bahra mand hoga ( binaa'ei wa aankhon ki oumr me aezaafa hoga ) our is ke waaledain ke azaab me kami ki jaae gi , agar'che dono kaafir hi keyon na hon
( اصول كافى ج 2 كتاب فضل القرآن باب قرائةالقرآن فى المصحف ص 613 )
*jab qur'aan padhne ki vajah se kaafir waaledain ke azaab me kami ki jaae gi to badar'jae auwla (بدرجہ اولی) musalmaan ke azaab me bhi kami hogi*
*(2) murdon ke liye tamaam aebaadaton our nek kaamon ko 2 tariqe se anjaam de sakte hain :*
*1)* oun ki taraf se neyaabat ke ounwaan wa qasd se anjaam den ,
is ka tariqa ye hai ke qur'aan ya doa padhne ya dusre nek kaamon ko anjaam dene ke pahle qasd wa aeraada karen ke is kaam ko folaan murde ki taraf se anjaam de rahe hain
*2)* qur'aan ya doa padhne ya dusre nek kaamon ko anjaam dene ke baad is ka sawaab 14 maasumin (عليهم السلام) ke zariye murde ki ruh ko hadiya karen
*Note :*
naasebi ous ko kahte hain jo musalmaan hone ka daawa kare , lekin ahl-e- bait , khosusan hazrat ali (عليهم السلام) se dushmani kare , ya in ko dushnaam de , ya in ke fazaael se inkaar kare
*isi vajah se shion ke nazdikh ahl-e- sunnat naasebi nahi hain , is liye ke ahl-e- bait se mohabbat karte hain*
والسلام
syed shamshad ali katokhari khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / Patna - shobae sawaalaat Qum / Iran
25 / شوال / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel
Friday, July 20, 2018
Jnab Mera swal h ki mere ghr wale ahele sunnat h aur hm shiya ho gye hai Meri walda mere bhai bhen k inteqal ho gya Kya isàle swab k liye mjlis kr skte hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment