Humlogo ki Shariyat ke mutabiq khatna(Circumcision) ke liye kya-kya hukum,sharayat aur usse judi sare baton ke bare me kya kaha gaya hai? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, July 20, 2018

Humlogo ki Shariyat ke mutabiq khatna(Circumcision) ke liye kya-kya hukum,sharayat aur usse judi sare baton ke bare me kya kaha gaya hai?

As-salamoalaikum huzoor,

Sawal:
Humlogo ki Shariyat ke mutabiq khatna(Circumcision) ke liye kya-kya hukum,sharayat aur usse judi sare baton ke bare me kya kaha gaya hai?

Kya khatna ka  walima bhi hota hai?

Aytullah khamenei ke mutabiq kya kaha gaya hai?

Aytullah sistani ke mutabiq kya kaha gaya hai?

Aur jo bhi hamare marja e deen hain unka kya kehna hai?

Aj ke momeneen ko in sab baton ka janna bahut zaroori hai.

Bahut shukria aapka.

Iltemaasedua.

*Jawaab:*

                           باسمه تعالى
         
          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
*(1)*

*1)*  vali ko chahiye ke ladke ka khatna karaaen lekin agar kisi wajah se vali nahi karaa paaen to baaligh hone ke baad khud is par waajib hai

*2)* hatta agar masalan 80 saal ka kaafir musalmaan ho jaae to is par waajib hai

*3)* waajib ya mustahab haj ya umrah ka  tawaaf sahi hone me khatna shudah hona zaruri hai , lekin namaaz waghirah me ye shart nahi hai

*4)* jis imam-e- jamaa'at ka khatna nahi huwa hai ous ki aeqteda nahi kar sakte , lekin agar majburi ya ouzr-e- shar'ei ki benaa par khatna nahi huwa hai to aeqteda karna makruh hai

*5)* shaadi ke liye khatna shuda hona zaruri nahi hai

*(2)*

velaadat ke baad chand chizen mustahab wa sunnat hain , oun me se aek khatna karte waqt valima hai

albatta velaadat wa khatne ka valima velaadat ke 7th roz yaa is taarikh ke qarib aek saath kar sakte hain.
is tarah karne se dono sunnat wa mustahab ada ho jaae ga

*rasul-e- geraami( صلى الله عليه و آله ) ki mash'hur hadis hai :*

*5 jaghon par valima mustahab hai*

shaadi ke waqt , awlaad ki velaadat ke waqt , ghar kharidte vaqt , haj karne ke baad , ladke ka khatna karte vaqt

( وسائل الشيعه 30 جلدى ج 20 ص 95
جواهر الكلام ج 29 ص 47
تحرير الوسيله ج 2 كتاب النكاح احكام الولاده ص 310 مسئله 3 تاليف امام خمينى )

*Note :*

*1)* imam (عليهم السلام) khatna shudah paiyda hote hain. imaam ki 10 alaamaten hain oun me se aek khatna shuda paiyda hona hai

(اصول كافى ج1 كتاب الحجه باب مواليد الائمه ص 388)

*2)* ladkiyon ka khatna karaana vaajib nahi hai. agar ladki ka is se noqsaan ho to ye haraam wa gunaah hai our ladki par zulm

lehaaza is surat me vaaledaiyn ko haq nahi hai ke ye kaam karen

*3)*  aam insaan ke liye khatna shuda paiyda na hone our baad me karaane me  bht saare tibbi faayede bhi hain jawaab tulaani ho jaae ga lehaaza bayaan nahi kiya jaa raha hai


 والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadime aedarae darul etrat Azim Aabaad / patna - shobae sawaalaat Qum / iran

22 /شوال / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen