BADAR ME HAZRAT ALI(A.S) NE KITNE KUFFAR FINNAR KIYE? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, July 20, 2018

BADAR ME HAZRAT ALI(A.S) NE KITNE KUFFAR FINNAR KIYE?

BISMILLAH  HIRRAHMAN NIRRAHEEM​​

SALAMUN  ALAIKUM
Questions 🌹🌹⬇

BADAR ME HAZRAT ALI(A.S) NE KITNE KUFFAR FINNAR KIYE?

 Mujhe answer nhi maloom hai. Aapse darkhast hai aap mujhe iska ilm de.

*Jawaab :*

                           باسمه تعالى
         
          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

*shia wa sunni mowarrekhin ka is par ittefaaq hai ke 36 kaafiron wa moshrekon ko sirf hazrat Ali (عليه السلام) ne qatl kiya , yani tanha wa shakhsan wasile jahannam kiya.*

maqtulin zeyada tar kuffar wa moshrekin ke sarghana the , moaviya ( معاویه ) ke maamu walid (ولید) our moavia ke bhai hanzala(حنظلہ) ko bhi hazrat Ali ( علیه السلام ) ne qatl kiya , lekin moavia ke naana atba ( عتبہ ) ko janaab-e- hamza our hazrat Ali ( علیه السلام ) ne qatl kiya

baad me hazrat Ali (عليه السلام) ne aek khat moaviya ko likha , ous me is ki taraf aeshara is tarah kiya hai :

*aek hi jang me jis talwaar se tumhaare naana , maamu our bhai ko qatl kiya , wahi talwaar is waqt bhi mere pas hai* .

36 kaafiron ke aelawah baaqi maqtulin me aekhtelaaf hai ke Aaya sirf hazrat Ali (عليه السلام) ne qatl kiya ya dusron ki sharakat me kiya .

bahar hal taqriban Aadhe se zeyada kaafiron ko hazrat Ali (عليه السلام ) ne qatl kiya. oun ke naam taarikhi ketabon me mawjud hain .

*Note:*

hazrat Ali (عليه السلام ) ke dushmanon ya aap se bughz o aenaad karne walon ki taraf se ye ghalat propaganda kiya jata hai ke baaz jang me hazrat Ali (عليه السلام) ne logon ke sath mil kar bhi qatl kiya. ye osul-e- jang ke khelaaf tha , is liye ke ous waqt aek ke moqabil aek hi jaata tha .

moula ki dushmani me ye aetne andhe ho jate hain ke in ko taarikhi haqaeq bhi nazar nahi Aate hain .

yaqinan jang ka aek tariqa yahi tha ke aek ke moqabil aek , lekin dusra tariqa bhi raaej tha yani aek geroh (گروه) ke moqabil dusra geroh.

والسلام

syed shamshad ali katokhari khadime aedarae darul etrat Azim Aabaad / Patna  - shobae sawaalaat Qum / Iran

20 / شوال / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen