Sawaal az.....
Salam Allama sb...
mera sawaal hai ki keya chhote bache jo mother feed pe hain unka pishaab najis hota hai ? Mera naam number plz mat share kariyega shukria slamat rhy... from karachi
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji najis hai
(baaz log kahte hain nauzaad sheer'khaar ka peshaab najis nahi hai ye ghalat hai)
Tat'hir ka tariqa :
agar koei chiz aise sheer'khaar ladke ya ladki ke peshaab se najis ho jaa'ae jo gheza khaane waale nahi huae hain to oun ko paak karne ka tariqa aasaan hai, aek martaba paani khaah kam hi keyon na ho ous par is tarah daalen ke tamaam najis jagahon tak pahunch jaa'ae to paak ho jaati hai. lekin aehteyaate mustahab ye hai ke aek martaba aur (yaani majmu'an 2 martaba) ous par paani daalen aur lebaas, farsh aur is ke maanind chizon ko dabaana (نچوڑنا) zaruri nahi hai.
is hukm me bach'che wa bach'chi ke darmeyaan farq nahi hai
(motabiq fatwa Aayatullah Sistaani)
Note :
- baaz maraaje jaise Imaam-e-khomayni (رحمةالله عليه) is hukm me bach'che wa bach'chi ke darmeyaan farq ke qaa'ael hain aap ka fatwa is tarah hai :
- jo bach'cha sukha dudh (milk powder) pitaa hai to ous ke peshaab ka hukm wahi hai jo gheza khaane waalon ke peshaab ka hai, yaani agar lebaas wa badan najis ho gaya to 2 martaba aab-e-qalil se yaa aek martaba aab-e-kur se dho'aen
agar aisi sheer'khaar ladki ke peshaab se koei chiz najis ho jaa'ae jo gheza nahi khaati hai to 2 martaba (aek martaba ke ba jaa'ae) aab-e-qalil ous par daalen aur lebaas, farsh yaa is ke maanind chizon par har martaba paani daalne ke baad dabaa'aen (نچوڑیں)
jin masaa'ael me Rahbar-e-inqelaab ka fatwa nahi hai aur Imaam-e-khomayni se Rahbar ke fatwe ka mokhtalif hona maalum nahi hai to Rahbar ke moqalledin ke liae Imaam-e-khomayni (رضوان الله تعالی علیه) ka fatwa hujjat hai, ous par amal karen kaafi hai
(tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
30 / شوال / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment