Salaamunalikum
Agar kisine namaz me jo Salaam padha jata hai
As salaamo aliaka aiyohan nabiyo....
Uske badle me Ilm na hone ki bina par
As salaam alaika ya aba abdillah as salaam alaika yabna Rasool Allah as salaam alaikum was rehmatul hi wa barkatahu.... Padhe to kya hukm hai kya puri namaz firse padhni hogi ya fir maaf hai Jo padha hai
Iltemas e dua
*Jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
*agar jaahile qaasir (جاہل قاصر) hain to namaazen sahih hain dobaara padhna zaruri nahi hai*
*Note :*
jaahile qaasir wo shakhs hai jo apne jahl (بے علمی) ki taraf motavajjeh nahi hai
iska natija ye hai ke apne amal ko sahih samajh kar anjaam deta hai
ya apne jahl ki taraf motavajjeh hai lekin apni jahaalat ko dur karne ke liye koiy raasta nahi hai , masalan dur ouftaadah (دور افتادہ) jagah zindagi karta hai , vahaan se olama our dini markaz se raabeta qaaem karna momkin nahi hai ya ketaaben nahi hain ya hain lekin samajhna imkaan me nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime aedara-e darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
5 / ذيقعده / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel
Friday, July 20, 2018
Agar kisine namaz me jo Salaam padha jata hai As salaamo aliaka aiyohan nabiyo.... Uske badle me Ilm na hone ki bina par As salaam alaika ya aba abdillah as salaam alaika yabna Rasool Allah as salaam alaikum was rehmatul hi wa barkatahu.... Padhe to kya hukm hai kya puri namaz firse padhni hogi ya fir maaf hai Jo padha hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment