Salamun alaikum wrb
Sawal
Keya plastic ki balti me khun gir Jaaye our ya khun plastic ki balti par lag Jaaye to keya ehkaam hai waazeh kar dijye
🌹Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Plastic ki baalti ya bartan wagiyrah dusre bartan ki tarah qaabile tathir hai jo log kahte hain plastic ke bartan paak nahi ho sakte ghalat hai
rahbare inqelaab :
najis bartan ko ( plastic se bane hon ya plastic ke aelaawah kisi our chiz se bane hon) aabe qalil se 3 martaba dhoen our aabe kur ya jaari se aek martaba dhona kaafi hai lekin kur wa jaari me bhi aehteyaat 3 martaba hai
aayatullah sistaani :
aabe qalil se 3 martaba dhoen our benaabar aehteyaate vaajib aabe kur ya jaari se bhi 3 martaba dhoen
baalti ya bartan paak hojaae gaa
aabe qalil se paak karne ke 2 tariqe hain :
(1) ( najaasat ko bartaraf karne ke baad )
bartan ya baalti ko 3 martaba pur karke khaali kar den
(2) thoda ( تھوڑا ) paani bartan me daal kar is tarah hilaaen ke paani najis jagah par pahunch jaae phir bartan ko paani se khaali kar den
isi tarah 3 martaba dhone se bartan paak ho jaae ga
Note :
baalti me agar paani hai to najaasat girne se najis ho jaae ga , is liye ke aab-e- qalil hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna shoba-e- sawaalaat Qum / iran
17 / رمضان المبارک / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna shoba-e- sawaalaat Qum / iran
17 / رمضان المبارک / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment