Roze ki haalat me baal taraashne ka hukm | keya is ke baad ghusl hai ? | ahkaam ki 5 qismen - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, May 21, 2018

Roze ki haalat me baal taraashne ka hukm | keya is ke baad ghusl hai ? | ahkaam ki 5 qismen

Sawaal az : mohtaram Janaab Saudagar Anwar Husain (Mumbai)


Salamun alikum


Sawaal
Roze me baal tarashna kaisa hai ? aur din ke kis waqt tak ghusl kar sakte hai jab ke ghusl sirf mubaa hai nahi wajib ghusl hai nahi mustahab sirf baal tarashne ke baad ka hai
Wassalam


Jawaab :


باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


  1. jism ke baal saaf karne yaa taraashne se roza baatil nahi hoga, roza sahi hai

  2. baal taraashne ke baad kisi tarah ka bhi ghusl karne ke liae nahi kaha gaya hai (albatta haj me halq yaani sar mundne (مونڈنے) ke liae ghusl mustahab hai)

  3. ghusl waajib hai yaa mustahab (in ka tafsili zikr tauzihul masaa'ael me hai)

  4. ghusl makruh yaa mobaah nahi hota aur naa hi khud-ba-khud haraam ghusl hai, lekin dusre ounwaan yaa waj'hon ki bina par haraam ho sakta hai, jaiyse waajib yaa mustahab ghusl ke aelaawah apni taraf se kisi ghusl ka aezaafa kare to ye bid'at wa haraam hai yaa ghusl karne me qaabile tawajjoh nuqsaan hai to haraam hai yaa namaaz ka waqt tang hai, agar ghusl karen to namaaz qaza ho jaa'ae gi, is surat me bhi ghusl karna sahi nahi hai


Jawaab ka khulaasa :


wo ahkaam jo insaan ki zimmedaari wa amal ko moshakh'khas wa moay'yan karte hain oun ki 5 qisme hain :


  1. waajib
  2. haraam
  3. mustahab
  4. makruh
  5. mobaah

insaan ka amal in 5 qismo me se hi hoga, lekin ghusl waajib hai yaa mustahab, haraam, makruh yaa mobaah nahi hota


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran


5 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen